Saturday, January 7, 2012

Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai


Aye naye saal bata tujh mein naya kya hai..?
Har taraf khalq ne kiyun shor macha rakha hai,
Roshni din ki wohi,
Taron bhari rat wohi,
Aaj hum ko nazar aati hai har bat wohi,
Aasman badla hai na badli ye afsurda zameen,
Aik hindse ka badalna koi jiddat to nahi,
Pichle barson ki tarha hon ge qareene tere,
Kise maloom nahi 12 maheene tere,
Be sabab dete hain kiyun log mubarak badein,
Sub kya bhool gaye waqt ki karrwi yadein,
Tu naya hai to dikha subha nai, sham nai
Warna in aankhon ne deikhe hain naye saal kai…

No comments:

Popular Posts