Aaj Phir tanhayin hey, Phir wahin khamoshi ka alam hey
Na jaaney kyon aaj teri yaad Phir aayee hey, na jaaney fir kyon merin aankh bhar aayee hey !!
Tumney mujhey hasnaa sikhaayaa .. ronaa bhi tumhi ne sikhaayaa
Kya gila karein hum tumsey ki tumhi ney humein jeenaa shikaayaa!!
Acha seekh gaye jeena hum abh
Ab to Tanhayiyon ke saath kuch baatein bhi ho jaati hein
Mano jesey zindgi ko to nahin, magar tanhayiyon ko jeenaa seekh gaye hein abh !!
Aaj bhi tanhayin hey kyonkin tum nahin
Aaj bhi tumhari yaad hey magar aankho mein aassoon nahin!!
Sookh chuki hein yeh ankhey teri yaad mein
Abh to bus is khoon ke sukhney ka intizaar hey !!
Malum nahin kya hogaya zindgi ko
samajh nahin paye hum zindgi ko
Zindgi hum se roothee ya hum zindgi se malum nahin
Bus dhoontey rahey hum zindgi ko !!
Kabhi yaad aye humari to chaley aana humarey paas
Jaantaa hoon mein tum reh to nahin saktey humarey dil ke paas
Magar chaley aana kabhi in tanhayioun ke paas!!
Tanhayi se kabhi mulakaat ho to puchnaa uska pata…
Woh bata degi tumhey humarey dil ka pata , Rehti hey woh mere dil mein abh tereDil ki jaghaa!!
Haan yeh Tanhayeen hey abh Teri Jaghaa !!!!
No comments:
Post a Comment