kya khoobsurat zakhm diya banke dost hamara
rahega yaad wo bharam diya banke dost hamara
andaaz dekhiye zakhm e dil dene ka unka,
ilzaam bhi ham pe lagaata hai banke rahbar hamara
karam to dekhiye mouzu-e-ghazal dene ka unka
naqaabil dost ho tum aaj kaha hai banke aaftaab hamara
ilzaam lagaane ka hai bada hi shurfiyaana andaaz unka
tanhaii me hi to lagaya hai ilzaam banke khairkhwah hamara
zakhm pe namak bhi lagaaya hai marham ki tarah
Ghusl-e-kafan bhi diya hai janaab ne banke dost hamara
No comments:
Post a Comment