Aanso ka milan hasi se Aa zindaghi tu bhi dekh le
ayese bhi badlta hai koi milke kisi se dekh le
Dunya ke jo ye rang hai kab kaise ha ye badle
tu thaam ke es dil ko aa abhi se dekh le
Khamoshi ke libaas main koi chup raha tha ham se
uski badlti ye berokhi aaj bebasi se dekh le
chaire badl jate hai dil bhi badl jate hai
kaise toot ta hai ye dil kisi se dekhle
Aanso ka milan hasi se zindaghi tu bhi dekh le
Ashko ke sailb main chnd bondo ka sabab kaya pochte ho
rote hoye bhi koi kaise muskorata hai aa abi se dekh le
Mhfil main bhi thnhayi kaise nochti hai
kisi joolos main yaad kerke unhe kabhi tu dekh le
Thaam le daman main kuch pal main zindaghi ko
laot k aye na fir ye khoshi milke es kami se dekh le
Kash unki mohbbat ko ham bhola dete mager
bhole se bhi jo na bhol paye us majbori ko dekh le
Aanso ka milan hasi se Aa zindaghi tu bhi dekh le
No comments:
Post a Comment