Wednesday, June 23, 2010

mitti ki imaarat saya de kar mitti mein hum_vaar houi


mitti ki imaarat saya de kar mitti mein hum_vaar houi
virani se ab kaam hai aur virani kis ki yaar houi

dar dar ke qadam yoon rakhta hoon khawaboon ki sharay mein
ye reg abi zanjeer bani ye chaa.nv abi dewaar houi

har pati bojhil ho ke giri sub shakein jhook kar toot gayi
us barish hi se fasal urji jis barish se taiyaar houi

ab ye bi nhin hai bus mein ke hum phooloon ki dagar par laut chalein
jis raah_guzar par chalna hai wo raah_guzar talvaar houi

chooti hai zara jub tun ko hava choobtey hein ragoon mein kantey se
so baar khizaein ayi hoongi mehsoos magar is baar houi

wo naley hein betaabi ke cheekh uthata hai sunata bi
ye dar ki shub maloom nhin kub tak ke liye bedaar houi

likhi hein shiksatein itni jahaan maqtal mein wahan ye be likh doh
kitni sham_sheeree toot gayi kitney dushmanoon ki haar houi

ab gair hava kitni hi chaley ab garm fiza kitni hi rahe
siney ka zakhm charag bana daman ki aag bahaar houi

No comments:

Popular Posts