Wednesday, June 23, 2010

ghazab kiya ,tere wadoon pe aetbaar kiya


ghazab kiya ,tere wadoon pe aetbaar kiya
tamam raat qayamat ka intzaar kiya

hansa hansa ke shub_e_vasl ashk_baar kiya
tasaliyaan mujhe de de kar beqarar kiya

hum aesey mehv_e_nazara na the jo hosh ata
magar tumharey tagaful ne hoshiyaar kiya

fasana_e_shub_e_gham un ko ek kahani thi
kuch aetbaar kiya aur kuch na aetbaar kiya

ye kis ne jalwa humarey sar_e_manzar kiya
ki dil se shoruthaa haa_e!beqrar kiya

tarap phir ai dil_e_nadaan ki ghair kahate hein
akhir kuch na bani,sabr ikhtiyaar kiya

bhool bhoola ke jataya hai un ko raaz_e_nihaan
chipa chipa ke mohabat ko ashkaar kiya

tumein toh wada_E_deedaar hum se karna tha
ye kya kiya jahaan ko umeedwaar kiya

ye dil ko taab kahan hai ke ho maalandesh
unhoo ne wada kiya hum ne aetbaar kiya

na pooch dil ki haqeeqat magar ye kehtey hein
wo beqraar rahe jis ne beqrar kiya

kuch agey deewar_E_mehshar se hai umeed mujhe
kuch app ne mere kehney ka aetbaar kiya

No comments:

Popular Posts