Saturday, August 28, 2010

Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do


Bharam Uski Nafrat Ka Aaj Aur Reh Jane Do
Ashkon Ko Aankhon Me Aaj Aur Reh Jane Do


Dharakhta To Dil Uska Bhi Hoga
Uski Be-Rukhi Ka Parda Aaj Aur Reh Jane Do


Bohat Hua Tamsha Bohat Jee Liye
Usko Mujh Se Ghafil Aaj Aur Reh Jane Do


Aaj To Raqeeb Bhi Mere Saare Khush Honge
Uske Chahney Walon Me Mera Naam Aaj Aur Reh Jane Do


Maaloom He Mujhe Uski Be-Niazi Ka Aalam
Mere Intizaar Ka Bharam Aaj Aur Reh Jane Do


Bas Aata Hi Hoga Qaasid Qaza Ka
Ye Darwaaza Khula Aaj Aur Reh Jaane Do


Kisi Ne To Kabhi Pukara Hoga Haseeb

Who Baz-Gasht Hawa Me Aaj Aur Reh Jaane Do

No comments:

Popular Posts