Ik nighah ka sannata hai ik aawaz ka banjar pan
main kitna tanha betha hoon qurbat k veeraney main
bistar sey karwat ka rishta toot gaya ik yaad k sath
khwab sarhaney sey uth betha takiye ko sarkaney main
aaj uss phool ki khooshboo mujh main paiham shour machati hai
jis ney be had ujlat barti khilney aur mujrjhaney main
baat bananey wali ratein rang nikharney waley din
kin rastoun par chor aaya main umr ka sath nibhaney main
aik malal ki gard sametey main ney khood ko paar kia
kaisey kaisey wasl guzarey hijr ka zakhm chhupaney main
jitney dukh they jitni umeedein,sab sey brabar kaam lia
main ney apney ainda ki ik tasweer bananey main
aik wazahat k lamhey main mujh par ye aehwaal khula
kitni mushkil paish aati hai apna haal bataney main
pehley dil ko aas dila kar beparwah ho jata tha
ab tu "SAFI" bikhar jata hoon main khood ko behlaney main
No comments:
Post a Comment