Sehra ne meri zat ka sehra nahi dekha
dariya koi bhi aankhon se gehra nahi dekha
jo shakh mutabar lage wo khokli mile
dukh iss se bhi badh kar koi gehra nahi dekha
auncha koi pahad ho ya aasman ho
pani main koi aks bhi tehra nahi dekha
dekha tha itefaq se suraj ko iss ke bad
aankhon ne koi khuwab sunehra nahi dekha
dariya ki tarah aankhon ki jo pias bujhata
jalti hoi aankhon ne wo chehra nahi dekha
sehra ki tashnagi pe he heran wo kanwal
dariya ne kabhi pias pe pehra nahi dekha
No comments:
Post a Comment