Saturday, August 28, 2010

Dur kahien ik khwaab nagar mein khwaab humare baste thay


Dur kahien ik khwaab nagar mein
khwaab humare baste thay
un khwaabon mein kuch khwab thay aisay
saath buna hum kerte thay
neend se bojhul aankhien ik din
khwaab ko bunte bundh howien
woh khwaab adhora chooth gaya
woh khwaab bhi ab to bhool gaya
woh khwaab adhora hai ab tak
woh baat adhori hai ab tak
kuch kehne k kuch sunane k
armaan adhore hein ab tak
Woh khwaab ju kal shab aaya tha
sandes apne sung laaya tha
kuch gum sum sa' kuch naadim sa
sung aik kahani laya tha
Main ne poocha "koun hai tu ?
kya us ne tujh ko bheaja hai ?
in neend se bojhul ankhoon pe
kya murhum rukhne aaya hai?
ab bol! bata aey khwaab tujhay
kiya poora wo ker paya hai ? "
woh Khwaab bhi aik pujari tha
chup hi raha kuch bhi na kaha
woh apne is khaali pan ko
undar hi undar maar gaya
ik talakh haqeeqat ko jaisey
dil ne mere phir jaan liya
Woh khwaabon ko bunney wala
ab khwaab udhaira kerta hai
khwabon ki qadar ab na jaaney
adhora pan woh na jaaney
woh khwaab thakan mein choor sa tha
woh khwaab bhi sub kuch haar gaya
us ik adhore khwaab ko to
Atish k hawaley kerdala
Hum bhi to sada se khaak hi thay
phir khaak mein hi mil jaeyingey
un khwabon ko un lumhoon ko
tanha jee ker mur jaeyingey
woh khwaab bhi ab to raakh howa
Dur kahein us khwaab nagur mein
ik khwaab ka aaj khoon howa ...

No comments:

Popular Posts