Tum ne
mujh se mujhe juda ker k
sheesha-e-dil ko aaina ker k
aks is mein utaar ker apna
rukh diya bhooli basri cheezo`n mein
waqt ki adh-khuli darazo`n mien
kisi be-naam se guma`n k pas
ik adhoori si dasta`n k pas
jis jaga
gum-shuda khato`n mien chupay
aansou`n ki tarah chamaktay hoay
yaad k be-shumaar jugno` hain
dard k be-hisaab pehlu hain
khush pholo`n ki patiyon mein kahin
kisi barsaat ki nami hai jahan
zindagi ki boht kami hai jahan
tooti chori k saath rakhi hoi
ik december ki shaam k hamrah
kuch khizaan k bhi din paray hain kahi
khwaab ki dhajeeyo se liptay hoay
chaand raatoon k silsilay hain kahi
aur kuch ahed wafa na hoay
Qarz sansoon k
jo ada na hoay
itni cheezoon k beech rakha howa hai
aaina toot bhi tu sakta hai
bach bhi jaye tu
aainay pe pari
sainkaron dil-zada kharashon mein
koi soorat kahan ubharti hai
sans ka kia hai
chalti hi rehti hai...
No comments:
Post a Comment