youn sir-e-rah yehi soch chalti rahi meray samnay
meri zindagi gir kay sambhalti rahi meray samnay
mujh ko barbaad kiya meray osooloon nay
mein na badla duniya badalti rahi meray samnay
mein ek zinda khayal hoon teri ankhoon ka
inhi sochon mein umer dhalti rahi meray samnay
chandi say tarasha badan keh saktay hain usay
ek kiran si dil mein utarti rahi meray samnay
woh khwahish jo har ghari kiya kartay thay
ek dam nahi, pal pal marti rahi meray samnay
kahin tujh say judai ka na faisla kar bethoon
yeh soch kar roh meri darti rahi meray samnay
takdeer mein tera wajood wazaih tha is liye
kismat mujh say gila karti rahi meray samnay
yaad kay jangal mein safar shoro howa jab
anna meri toot kay bikharti rahi meray samnay
No comments:
Post a Comment