bhuli bisari chand umeedein chand fasaane yaad aaye
tum yaad aaye aur tumhare saath zamaane yaad aaye
dil ka chaman shadaab tha phir bhi khaak si urti rehti thi
kaise zamaane ai Gam-e-janaa tere bahaane yaad aaye
thandi sard hawa ke jhonke aag laga kar chhor gaye
phuul khile shaakhon pe naye aur dard puraane yaad aaye
hansane walon se dertay the chhup chhup kar ro lete the
gahri gahri soch mein duube do deewane yaad aaye
2 comments:
khoobsurat intekhaab hai ji
thanks dear..............
Post a Comment