Saturday, December 24, 2011

Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna



Phool khil Jaein To Us Shakhs Se kam kam Milna
"Mohsin"
Aksar December Mein Mohabbat Pe zawaal Aata Hai

Thitharti Hoi Shab e siyah woh Bhi taweel Tar


Thitharti Hoi Shab e siyah woh Bhi taweel Tar
"Mohsin"
Hijar kay Maroon pe Qayamat hai Yeh December

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar

Labon Pay Aa Gayi Thi Ik Baat Harf-e-Haq Ban Kar
Khabar Ye Phaili Shehar Main K Zubaan Daraaz Hain Hum.

Ishq k ilaqay mein Hukm-e-yar chalta hai

Ishq k ilaqay mein
Hukm-e-yar chalta hai
Zaabtay nahi chaltay
Husn ki adalat mein aajzi toe chalti hei
Mertabay nahi chaltay
Dosti k Rishton ki Perwerish Zroori hei
Silsley ta'aluq k khud say bun toe jatay hein
Lekin in shagoofon ko
Tootnay bikhernay say
Rokna bhee perrta hei
Chahaton ki matti ko
Aarzu k poday ko
seenchna bhi parta hai
ranjishon ki baaton ko
bhoolna bhee parta hai
kyoon k
ishq k ilaqay main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtay nahi chaltay!!

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi

Aag k shehr mein tinke ki haqiqat kya thi
Dasht par phool ka saya tha Mohabat kya thi.

Zakhm thy dard tha tanhai thi Veerani thi
Kya bataon ke tere ishq mein rahat kya thi.

Tujko chaha hi nahi teri Ibadt ki hai..
Ek pathar ko magar us ki zarurat kya thi.

Aik muddat huwi Izhar-e-Mohabat kar ke
Aaj tak soch rahi hun k himaqat kya thi.

Kya bataon k yahan pooch rahe hain sab log
Wo jo guzri hai mere Dil pe Qayamt kya thi.

Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena



Koi thukra de chahat ko to haans kar seh lena
Muhabat ki tabiyat me zabardasti nahi hoti

Kuch toh apne muqadar mein anderey thay



Kuch toh apne muqadar mein anderey thay
Kuch teri yaad mein diye bujha kar rona acha laga

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere

Aaj phir Tumhari Yaad ne Cheen Liye Hosh-o-hawaas mere
Pagal ho jayenge hum ek din, agar ye silsila jaari raha

Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai



Tujh se wabastagi ka yeh aalam hai
Hum wo saans bhi nahi lety jis mein teri yaad na ho

Wajood sheeshay ka ho to pathron se Mohabbat

Wajood sheeshay ka ho to pathron se Mohabbat nahi karty
"Mohsin"
Ehsaas-e- Chahat na mily to wajood bikhar jaya karty hain

hosla tujh mein na tha mujh se juda hone ka

hosla tujh mein na tha mujh se juda hone ka
warna kajal teri aankhon mein na pheala hota

Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi



Behisi Ki Duniya Main Do Sawal Meray Bhi
Kis Liye Jiya Jaye Kis Tarha Jiya Jaye...

teri ibtida bhi aansoo,teri inteha bhi aahain

teri ibtida bhi aansoo,teri inteha bhi aahain
tu hi bata mohabbat tujhe kis bina pe chahain

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha

Be-faiz rafaqat mein samar kis ke liye tha
jab dhoop thi qismat tu shajar kis ke liye tha

Pardes mein suna tha, tu chhat kis liye daali
baher hi nikalna tha tu ghar kis ke liye tha

Jiss khak se phoota hai ussi khak ki khushboo
pehchaan na paya tu huner kis ke liye tha

Aaye madar-e-geeti! teri hayrat bhi baja hai
tere hi na kaam aya tu sar kis ke liye tha..

Youn shaam ki dehshat se sar-e-dasht-e-irada
rukhna tha, tu phir sara safar kis ke liye tha

Main Chahta Bhi Yahi Tha Wo Bewafa Nikle

Main Chahta Bhi Yahi Tha Wo Bewafa Nikle
Use Samajhne Ka Koi To Silsila Nikle

Kitaab-E-Mazi Ke Panne Ulat Ke Dekh Zara
Najaane Kaun Sa Panna Muda Hua Nikle

Jo Dekhne Me Bahut Hi Kareeb Lagta Hai
Usi Ke Baare Me Socho To Faasla Nikle

Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai



Dil Mere Tu Kiske Liye Dhadakta Hai
Tere Ehsaaso Ko Kaun Yaha Samajhta Hai

Tu Kyun Kisipe U Marta Hai
Har Koi Is Matlabi Duniya Me Jeeta Hai

Khusi K Liye Kyun Har Pal Tarasta Hai
Yaha Toh Gamh Hi Khubsurat Lagta Hai

Armaano Ko Liye Kyun Machalta Hai
Unko Adhura Rehte Dekh Jeeya Jalta Hai

Tuth Kar Bhi Kyun Tu Sambhalta Hai
Yaha Tuje Phir Bikharna Padhta Hai

Bharosa Kyu Itna Karta Hai
Yaha Har Ghadi Insan Chehra Badalta Hai

Tu Kyun Jaan U Chidakta Hai
Woh To Tera Katil Bana Phirta Hai

Pagal Dil,Tu Kyun Nahi Samajhta Hai
Teri Halat Dekh Har Koi Hasta Hai

Tere Liye Kisika Nafrat Hi Acha Hai
Yaha Toh Pyar Bhi Bahot Sasta Hai..

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain

Mohabbaton Main Kuch Aise Bhi Haal Hote Hain
Khafa Hoon Jin Se Unhi K Khayal Hote Hain.

Machalte Rehte Hain Zehnon Main Waswason Ki Tarhan
Haseen Loog Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hain

Main Dil K Zakhm Chupaon Teri Tarhan Kaise
K Tere Paas To Lafzon K Jaal Hote Hain

Bas Ek Tu Hi Sabab To Nahin Udaasi Ka
Tarhan Tarhan K Dilon Ko Malaal Hote Hain

Siyah Raat Main Jalte Hain Jugnuon Ki Tarhan
Dilon K Zakham Bhi Kitne Kamaal Hote Hain.

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain

Roog Aisay B Ghamm-e-Yaar Say Lag Jate Hain...!!
Darr Say Uth'te Hain To Deewar Say Lag Jate Hain...!!

Ishq Aghaaz Main Hal'ki See Khalish Rakhta Hai..!!
Baad Main Saink'roon Azaar Say Lag Jate Hain.....


Pehlay Pehlay Hawas Ak Aah Dukaan Khulte Hai...!!
Phir TO Bazar K Bazar Lag Jate Hain.......

Bai'basee B Kabi Qurbat K Sabab Banti Hai.....
Roo Na Paa'ein To Galay Yaar Say Lag Jate Hain....!!


Qutar'ne Ghaam Ki Galiyoon Main Jo Oree Phirtee Hen...!!
Ghar Main Lai Aoo To Ambaar Say Lag Jate Hain...!


Daagh Daman K Hon' Dil K Hon' Ya Chahre' K FARAZ
Kuch Nishaan Umer Ki Raftaar Say Lag Jate Hain..!

sab log thay manzil ko rawan dawan

sab log thay manzil ko rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka
mare chashm nam hoen bi gar
mujhay khumar-e-qalb na puhncha saka
mare khwahishon ke amartain,
veraan bastion main sutoon milay
mare aik aik jo dewaar the,
usay phir say tameer na kar saka
meray chaman main jo khizaan aye,
usay moj-e-bahar na dila saka
meray dast badast main jo dhul the
usay aik he aah nay ura dia
mare ainay mein jo tasveer the
usay rooh-e-imaan na dila saka
mare nao thi keh mojon mein rawan dawan
aur main tha keh kinaray ko na chu saka

Shab wahi lekin sitara aur hai

Shab wahi lekin sitara aur hai
ab safar ka isteaara aur hai

mauj ke murrne mai kitni der hai
naao daali aur dhara aur hai

sukh k mausam unglyon par gin liye
fasl e gham ka ghoshwara aur hai

dair se palken nahi jhapki meri
teshe jaan ab k nazara aur hai

aur kuch pal uska rasata dekh loon
aasma’n par aik tara aur hai

sath to mera zamee deti magar
aasma’n ka hi ishara aur hai

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai

Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai
Zindagi Akhri Hadoon Par Hai

Janay Ab Dil Ka Kia Banay Yaroon
Bey Kali Akhri Hadoon Par Hai

Sang Honay Main Koi Deer Nahi
Bey Hisi Akhri Hadoon Par Hai

Roshni Lotnay WAli Hai
Teragi Akhri Hadoon Par Hai

Iss Say Bar Kar Karay Kia Farhat
Maut Bhi Akhri Hadoon Par Hai

Usey kehna December aa gaya hai

Usey kehna December aa gaya hai..
December k guzartay hi..
Baras ek aur mazi ki ghupa mein doob jaaye ga..
Usey kehna December laut aaye ga..
Magar jo khoon so jaayega jismon mein na jaaye ga..
Usey kehna hawayen sard hain..
Aur zindagi k kohray deewaroN main larzaan hain..
Usey kehna shagoofay tehniyon mein so rahay hain..
Aur un par barf ki chadar bichi hai..
Usey kehna agar sooraj na niklay ga..
To kaisay barf pighlay gi...
Usey kehna..
K...
Lot Aaye...!

December Jab bhi ata hai

December Jab bhi ata hai
wo pagli...
phir se beety mosumo'n ki
talkhion ko
yad karti ha
purana card perhti hai
k jis main os ne
likha tha
Main Lauton ga December main
Nai Kapry bnati hai
wo sara ghar sjati hai
December k her ik din ko
wo gin gin ker bit'tati hai
junhi 15 guzarti hai
wo kuch kuch toot jati hai
magar phir bi
purani albumo'n ko khol ker
mazi bulati hai !!!
nahi maloom ye osko
k beety waqt ki khushian
Bohat takleef deti hain
mehaz dil ko jalati hain...
yunhi din beet jaty hain
December laut jata hai
magar wo Khush feham larki...
dobara se calendar main
December k maheeny k safhy ko
mord ker, phir se
Phir se
December ke sahar main
Doob jati hai
k akhir os ne likha tha....
Main Lauton ga December main

december Sunehri Shamein



DECEMBER

*Sunehri Shamein,
Thatharti Ratein,
Mehekti Coffee,
Woh Bheeni Khushboo,

Khamosh Kamra,
Aatish Daan Sulaghta,
Mein Aur,
Teri Yaadon Ki Khushboo,

Haan Yehi DECEMBER Hai.

December Ki Barish Mein

December Ki Barish Mein


December Ki Barish mein
Beeghtay Pairoon Se Pocho
Akela pan Kia Hai
Tanhaayee kise Kehtay hain
Seh Pehr Ki Dhoop Ko Tarasna
aur Barish mai Beghtay Rehna
Jangle Ki Rahoon mai Akelay jana
Uss kay Garam Hathoon Ki Chaah Ko Tarasna
aur Barish mai Beeghtay Rehna
December Ki Barish mai
Lehr der lehr Mehakti Hawa Se Pocho
Khushboo Sa Khayal Rakhnay Walay Tanha Kaisey Rehtay Hain
Beeghtee Hain Jab Sard Ratein
December Ki Barish Se kaho
Kabhi Jangle Kay Uss Paar Milay
dhaltay hoon Shaam Kay Saaye
Tu Inn Ankhoon se Milay

December mein Chalay aao

December mein Chalay aao
December mein Chalay aao
Kabal Iss Kay..!!
December Ki Hawawoon Se Ragoon mai Khoon Ki Gardish Tehr Jaye
Jism Be jaan Ho Jaye
Tumhari Muntazir Palkain Jhapak Jayen
Basa Jo Khawb Ankhoon mai Hai Woh Armaan Ho Jaye
Barsoon Ki Riyazat Se
Jo Dil Ka Ghar bana Hai..woh Makaan Ho Jaye
Tumharey Naam Ki Tasbeeh Bhuladein Dharkanain Meri
Yeh Dil Nadaan ho jaye
Teri Chahat Ki Khushboo se Basa Angan jo Dil KA hAi
Woh Phir Weeran ho jaye
Qareeb ul marg honay ka koi Samaan ho jaye
Kabal iss kay..!
December Ki Yeh Nanni Dhoop Ki Kirnain
Shararoon Ki Tarah ban Kar'mera daman jala dalain
Bohot Mumkin hai
Phir Dil bhi barf ki manind peghal jaye
Mumkin Phir bhi yeh hai Janaan..! Keh Teri Yaad Bhi
Kaheen Aah Ban Kar Nikal Jaye
Mausam Badal Jaye
Ya Pehlay Ki Tarah Ab phir December na dhal jaye
Kabal Iss kay Keh..!
December aur Ham teri Rahoon mai baithay Tujhko Awaz detay hain..
Keh Tum milnay Chalay aao
December mein Chalay aao..

aah December Laut Aaya Hai

aah December Laut Aaya Hai
aah december lout aaya hai
yakh basta thhithharti hui taweel raatein
yaadoo'N ka aanchal aurh keR
meray dil kay taqchon meiN
aashaao'n kay deep jalaati hein
meray mann mein bajti ghantiyoun ney
barff ki chaadar aurhi hai
rooh pehlay sey khwaaboun per
koher ka perda chhaya hai
hijar ki lambi raato'n may
chhat per tanha teheltey howey
shaal ka kouna dhalak gaya hai
balconey kay hairaan chaand per
meray aansoo'n ka saaya hai
aah december lout aaya hai

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein

Kia hi udhtay hain teray hijr ke shararay mujh mein
Taiz hawaoo’n mein jhoolay shakh-e-shajar jaisay!
Baat uthay jo meray fusoo’n ki namakdani ki…!
Aankh roti hai phir samandaro’n ke pani ki!
Aah ke jaan mere ab bhi simat jati hai
Garm baho’n mein koi roh pighal jati hai!
Aah jana’n ke ab jism ka rua’n rua’n…
Tery nargasi lams ko tarasta hai!
Narm baho’n ki hiddat ko maira badan
Sard raton mein phir misl-e-sahama jalta hai!
Toot jatay hain bazoo us hawalay se…
Halq-e-ja’n mein aaya wo taira paikr-e-gull!
Ja’n se roh talak aa gie taseer-e-damak
Us hiddat ko mairee rag-o-pe machalti hai!
Rok le khama ke sagar baat badhti hai..
Sard mausum ki ab jub rut badalti hai
Tairee qurbat ko mere jaan youn machalti hai
Jaisay parawanay ko shama se koi door kerday!
Jaisay machlee ko pani se koi juda kerday…!!!

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay

Yeh jaatay baras ke aakhri lamhay
Guzarti saa'atoo ke dhundelkay
Aur
Palkoon pe yadoo ke sitaaray
Pal bhar ko yun laga jaisay
Unhi yaadon unhi kahaaneyoon ke beech
Wakt tham sa gaya ho jaisay
Woh jo chiraag jala thaa roshni ke liye
Madham hogaya ho jaisay
Aur jo dariya muhabbatoon ka tha
Ab utar gaya ho jaisay
Aakhri shaam ka doobta suraj
Kuch keh raha ho jaisay
Un chaahatoon ka suraj bhi
Doob raha ho jaisay

Magar ab dil mein yaadoon ke siwa
Aur aankh mein aanso'oon ke siwa
Aur bacha hi kya hai
Jo ab aakhri saa'atoon ke naam karoon
Woh sab chaahatain aur sab muhabbatain
Aur un muhabbatoon ki saari shiddattain
Sab kuch tu ussi ke naam kar diya thaa

Haan, magar ab tak yaad hai
Us wakt bhi suraj yunhi doob raha thaa
Aur... woh bhi
December ki aakhri sard shaam thee
Jab us ne dheeray se kaha thaa
"Naya Saal Mubarak"... !!!

Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon



Sochti hoon tujhe ab kay baras kia bejhoon
Jaan bejhoon tujhe yah dil ka dharakna bejhoon

Maang loon apnay khuda se koi lamha aisa
Jis peh tu aa keh tehr jaye who rasta bejhoon

Sakht sardee mai Mohabbat ki Samoo doon Garmi
Aur garma mai khunk mausam-e-aasa bejhoon

Chand ratoon ka fasoon ab kay tere naam likhoon
Din Ki Hiddat kay liye shajr gahna sa bejhoon

Tashangee ab kay baras tujh se bohot duur rahay
Piyaas umroon ki bujha dey who maseeha bejhhoon

Tu Chalay gar Tu cheraagaan sitaare saath chalay
Dil ase jo nikli dua usska khazeena bejhoon

Umri khawhish keh Bahar aa ke tere ghar mein rahay
Aur barsaat mein rhim jhim ka sandeesa bejhoon

Kaash koi aisee Kiramat ho mere pass keh mein
Duur Tak mausam-e-gul na ho main tujhe gancha bejhoon

Bheega bheega sa yeh december hai


Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai
Bheega bheega sa december hai

Shaam ki kaali aankhain jab palkon ko chapkaati hain
Kissi pair kay neechay kuch yaadain gungunaati hain
Kuch pyar kay aadhay nagmay
Aadhi pyar ki kahaani..
Aik shehar ka raja..
Aur ek gaon ki rani
Donon baray premi thay
Ban main aaya kartay thay
Unkay pyar kay meethay nagmay
Panchi gaaya kartay thay
Ab na premi hain
Na woh baatain hain
Aur yaadain hi apni kamai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aaaai hai....

Is kamray ki khirki baarish ka shor sunati hai
Aur tumhari aahat hum ko yeh rog lagaati hai..
Ab kay saal december main jab ban main mein jaoon ga
Neeli jheel darakhton kay saayay aur sookhay pattay
Saaray tera poochain gain
Kahan hai tera poochain gain
Tera premi yaar kahan hai
Saaray tera poochain gain
Kia bataoon ga
Kia kahaani hai
Ab to qismat main apni judai hai..
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaa..ad aai hai...

Shaam dhallay jab panchi
Apnay apnay ghar jaatay hain
Koi mujhay batlayay
Mujhko yeh kiyoon tarpaatay hain
Mainay bhi ek sapna dekha tha apnay ghar ka..
Kho na jaye mera panchi
Lekin mujhko darr tha
Mera yeh afsaana hai
Saara yeh afsaana hai
Mera panchi rasta bhoola
Pagal hai anjaana hai
Tu gaya hai to
Mainay jaana hai
Mera dil ab bhi tera deewana hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki ya..ad aai hai...

Bheega bheega sa yeh december hai
Bheegi bheegi si.. tanhai hai
In kitaabon main jee nahin lagta
Hum ko sajni ki yaad aai hai

December mein tanha khadi

December mein tanha khadi
apne aap mein gum,
Kuch beete lamhe dhuund rahi hoon
Haa main tumhein yaad kar rahi hoon

Is maah mai ek aas mei hoon
Main tumahri raho mei
Ke le lo shayad mujhe tum apni baho mei

Dinn beet'te jaa rahee haii..or yeh bheega
December ko khatam hote dekh rahii hoon..
issi intezaar mein ke tum laut aaao,
aur tumko khud mein dhoond rahii hoon

hai akhri guzarish tumse
mohabbat ko ruswaiyo se bachana
duniya ki fikr chord is mahe December
mai meri jaan tum laut aana tum laut aana

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay

Gul-e-zaban pay wohi sardion ka mosam hay
tumhare 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay

darkhat par khabhi jo churion say dala tha
us aik nisaan pay wahee sardion ka mosam hay

yeh aik hum kay nayee bolian sada bolein
tere zaba pay wahee sardion ka mosam hay

sulg rahe hay dahan mayn qabayein lafzoon ke
magar zaba pay wahee sardion ka mosam hay

tumharay anay pay suraj kay hath chamkay gayein
meray makaa'n pay wahee sardion ka mosam hay

her aik simat peghlnay lagay hayn sanatay
teray beeaan pay wahee sardion ka mosam hay

jahaan jahaan tere khusbo kay rang bekhray hayn
wahan wahan pay wahee sardion ka mosam hay

tere judaee kay pal say hoaa hai ishk kanoot
ke is jahaan pay wahee sardion ka mosam hay

wo 'haan' karay gee baharoon mein uska wadaa tha
us aik 'haan' pay wahee sardion ka mosam hay

woh mujhe ko sonp gaya faraktein december mayn
darkhat-e-jaa pay wahee sardion ka mosam hay

hamaray lab to duaain jalayay rakhtay hain
per asman pay wahee sardion ka mosam hay

kuch neem gham mein

kuch neem gham mein...!

Aaj tum na phone kia aur na hi koi mail
Din bhar tumharay phone ka intizar raha..
Phir majboranan mein ne khud he kar lia
Tumhai bura to nahin laga….jana’n!


Bus Itna Yaad Hai...

Chandni shab thi..
Hawa bhi sard thi…
Kuch bhi zehn mein nahi
Bus itna yaad hai…
Tumharay kaandhay per mera ser tha
Aur mere kaandhay per tumharay bazoo…

her saal jaunary

her saal jaunary
humain kuch sapnay dikhati hai
jis ko poora kernay main
december aa pohanchta hai
zindagi aur akheer bi mano
umer kay january aur december hain
zindagi ki january bi jo khwab dikhati hai
admi umer ber un ko poora kerta rehta hai
aur umer ka december aan pohanchta hai
aur saal ki terha
saans bi khutum ho jati hai

december ki thatharti hoi shamien

december ki thatharti hoi shamien
kohar mein lipti dhundali se subhien
darakhto'N se girtey huay
khushk zard pattey
wo gao'n k tama'm raste
mohabbato'N k tama'm rishtey
khiyaal abad kaRte HaiN
tumheiN sab yaad karte hain...!!!

suno December ussay mila do

Naye hekayat mohabbaton ke
shikayatoon ke
bhujay bhujay say haroof lay kar
kohar mayn doobi seyaahoon kay
warq warq per utaarna hay
udaas shamoo'n kay phool chun kar
suno December
ussay pukaaro
ussay bulaaoo
suno December .. ussay mila do
ab is say pehlay kay saans niklay
ab is say pehlay kay saal guzray
wohe lakeerayn wohe sitara
mere lakeroon mayn qaid kar do
ya aakhri shab kay aakhri pal
koi bara ikhtetaam kar do
yeh zindagi bhi tamaam kar do
suno December ussay mila do ...

Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai



Abhi hijr ka qayaam hai aur December aan pahuncha hai
Ye khabr shahar main aam hai December aan pahuncha hai

Aangan mein utar ayi hai manoos si khushboo
Yadon ka azdahaam hai December aan pahuncha hai

Khamoshiyon ka hai raaj khizaan taaak main hai
Udasi bhi bahot aam hai December aan pahuncha hai

Tere aanay ki ummid bhi ho chuki maadoom
Naye saal ka ahtamaam hai December aan pahuncha hai

Khunak rut main udasi bhi chaukhat pe khadi hai
Jaday ki udaas shaam hai December aan pahuncha hai

Tum Aao to mere mausamon ki bhi takmeel ho jaye
Nayi rut to sar e baam hai December aan pahuncha hai..!

december ki akhri sham



december ki akhri sham


Usy kehna....!

December ja reha hay

Or December ki aakhri shaam hay

Aur December k guzartay hi

Baras ik aur maazi ki fiza mein doob jaye gaa

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly

Muhabat ki kahani ko koi takmeel day jana

Usy kehna, December ka maheena jaisy hi guzray ga

Umeeden doob jayen gee

Wo sapnay toot jayen gay

Usy kehna, December k guzarnay say zara pehly
Mohabat ko koi tabeer dai jaye

Usy kehna, Muqadar ko hamaray doob jany say
bacha lena..!!!

december se judai ka dhukh

december se judai ka dhukh..
Tuj say judai ka dukh

Tere hijer ka karb

Dekh ! phir say aa gaee hain

December ki sard ratain

Azab ratein

Tere karb main dobi

Khowfanak ratain


Teri wo pur noor ratain

Tujhey kiya khaber

December kee sard ratoon main

Tere sang beeti sardion key

Khushgawar khobsurut shamoon ko yaad kertha hoon

Ik mohoom si tamana kay sahray

Teri talash mein

Sarkoon per awara phirth hoon


Aatay jatay chehroon main tujhey khoja kerta hoon

Shayad kay wo tum ho

Aur thak haar ker jo lautta hoon

To khud per khoub hansta hoon

Phir !

Phoot phoot ker roota hoon

December k haseen din thay

December k haseen din thay

Murree ki yakh fizaon mein

Hamare chaar haathon nein

Mujasma ek banaya tha

Kaha tha ek dooje ko

Nishani pyar ki apni

Bari he khoobsoorat hai

Mujhe ab yaad aata hai

Mujasma barf ka tha wo

Usse aakhir pighalna tha

Usse to mitt he jana tha

Usse to mitt he jana tha..!!

december ne rula diya

Afsoos us ne mera naam tak bhula diya
is saal december ne behad rulaa diya.


her sal december mein barasta raha paani
is saal december ne bhi aanso baha diya


aab ajnabi sa lagta hai her shakhs mujhe q?
bazar-e-ishq ne mujhe kis se milaa diya


is sard raat mein bhi tapish tan badan mein hai
teri judaayi ne mujhe esa jala diya


chadar wafa ki orhh kar khud chain se soye
tanhayi k takiya per mujhe tanha sula diya


aanso k samander mujhe tohfey mein dey diye
meri wafa ka tu ne kiya acha sila diya


rakha tha saal bhar jise sambhaal kar
aatey he december ne wo diya baha diya....

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke

Beet Gaye Sare Mahine Saal Ke
Ab Phir Laut Aya Hain December,

Mere Gamo ka mausam Jata Nahi,
Ya Allah Kuch Mujh Par Karam Kar,

Jab bhi uski yaad ati hain Mujhko,
Nahi So Pata Hun Ek Karwat Par,

Ab tu Sardi bhi nahi lagti december main,
Nahi Rakhta main ek bhi Kapda Badan Par,

Allah tu Lauta de phir se wo mahine aur sardiyan,
Ya phir ye Sara Mamla hi Khatam Kar,

december hamare haal pe roya

Humare hal per roya DECEMBER
Woh dekho toot ker barsa DECEMBER


Guzar jata hai sara saal yun toh
Nahi katta magar tanha DECEMBER


Bhala barish se kya sarab ho ga?
Tumhare wasal ka payasa DECEMBER


Woh kab bichra? nahi aab yaad lekin
Bas itna illm hai k tha DECEMBER


Yun palkein bheegati rehti hain aise
Meri aankhon main jaise aa thehra DECEMBER


Jama ponjhi yehi hai umer bhar ki
Meri tanhai aur mera DECEMBER


Sabab na pooch mere aanson ka
Hai pehle hijr ka pehla DECEMBER


Main inn yaadon se bach k jaon kaise
K mellon dor hai phela DECEMBER


Meri aankhon se ger deko toh jano
K hai barsaat main jalta DECEMBER


Abhi tak kohr main dooba hai aangan
Abhi tak yaad hai pechla DECEMBER...!!!

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki

sulag rahi hain dahan mein kibaein lafzon ki
magar zubaan pe wohi sardion ka mosam hai

tumhare aane pe suraj k haath chamkein ge
mere makan pe wohi sardion ka mosam hai

har ek simt pighalne lage hain san'nate
tere beyaan pe wohi sardion ka mosam hai

teri judai k pal se hua hai ishq hanoot
k iss jahan pe wohi sardion ka mosam hai

wo mujh ko soonp gya furkatein DECEMBER mey
darkhte jaan pe wohi sardion ka mosam hai

humare lab to duaein jalay rakhte hain
par asmaan pe wohi sardion ka mosam hai..!!

Teri yaadon ki rawaani aur yeh december

Teri yaadon ki rawaani aur yeh december
 “Meri baatein Teri kahani aur yeh december

“Mera hath Tera sath lambi sarak aur yeh,december
“Gum sum shamein sunehri raatein aur yeh december

“Bhigey din madham suraj halkey badal aur yeh december
“Behti nidia gaatey panchi yeh december

Tanha Main tanha chaand Mera kamra aur yeh december
“Meri ankhein Meri neend Tere khawab aur yeh december

Akela December

Akela December

"sard ratoon ki bhegi tanhai,
barasti boond ke choote hi sulagta sa badan,
beti yadoon beete lamhon main sulagta hoa dil,
youn guzre saal ke sare dukh aur saree gham,
akela aik december seh leta hai

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne

Yeh kesa Alwidai geet gaaya december ne
jatey jatey nargissi mausam ko rulaya
khain pe lalazar banya
gulab motia chambeli se
tulip ki larioon se goond ke
pyar ke rangoon se sainch ke
parioon si khawishoon ke jhoormat
main
hamare laboon pe
duaaon ke alwidi kalmaat
tum hamesh raho mere saat
marmareen hatehlioon pe naii
umeedoon ke roshan chiragh
sadioon se chand ke devi
kaat rahi hai charqha
narm narm galoon se
prem ki dhank se dhunak rahi hai
hur ane wali subha ko
Rub ne dia hai sub ko ye hi pegham
ajj jati december ki sham
insaanyat ke naam
mohabbat azaadi shanti amaan hai
sub ki jaan
nafratoon ko kar do tammam
choti se hasti hai ye
pyar se basti hai
hamesha se hai
hamesha rahingain
Main or Nelaa Asmman

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai

Agar tark-e-taaluk hi wafaoun ka taqaza hai
khushi say bhool jao tum,
wo shab dhalay ki khamoshi main meray nam likhay khat,
Taveel wo shairoun say, phooloun say laday sab card,
meray mobile per wo jagmagaty pyar k qissay,
wo khushbu bat ki yadain, wo mehki rat ki batain,
Adhooray sab fasanay or adhoori sab mulaqatain,
tumhain meri ijazat ha,
bhula do saray qadoun ko, bhula do sari yadoun ko,
Jala do meri sab nazmain,
lota do pyar k tohfay,
Qalam jis per tumhara nam chaandi se likhaya tha,
wo tie jo galay ka haar ban k rehti thi aksar,
Kitabain…. Jo tumhari khwab gah ki ab bhi zeenat hain,
wo Cd jo tumhari gari main ab bhi amanat ha,
Romaloun per tumhara nam ham ne khud hi garha tha,
agar tark e ta’aluk hi wafaoun ka taqaza ha,
suno phir aaj hi is be mehr sa’at k saye main,
har ik shart e wafa se ham tumhain aazad karty hain,
K khud hi Qatl hoty hain, khud bedaad karty hain,
chalo dil pe chataan rakh kar,
gulistaan e muhabbat ko,
khud barbaad karty hain,
tumhara nam tak lety nahi tanhaiyoun main ham,
magar is dil ki dharkan ko bana kar raz dan apna,
tumhain hum yaad karty hain,

December aa ker guzer jaye ga

December aa ker guzer jaye ga
Ik pair kay na jaaney kitnay pattey giraa jaaey ga
December aa ker guzar jaye ga
Chiriyaa'n chehkein gee yakh-basta raato'n may
Aur pairo'n pey aa ker yeh gumsum rahein gee
Na koi hari shaakh ho gee
Na koi patta ho ga
December aa ker guzar jaye ga
Kitney parindey be-ghar ho jaain gey
Jalaa dey gee unn ko december ki thandi hawa
Na jaaney kitney khwaab bin taabeer dhal jaain gey
December aa ker guzar jaye ga
Ik pair kay na jaaney kitney pattey giraa jaye ga

Suno December usay pukaro

Suno......!
Suno December usay pukaro
Suno December usay mila do
Ab is sai pehlay keh saal guzray
Ab is sai pehlay keh jaan niklay
Wo hi sitara meri lakeeron main qaaid kar do'
Is aakhri shab kai aakhri pal koi bara ikhtitaam kar do
Ye zindagi bhee tamaam kar do....
Suno December usay bula do...!!

Neya saal aya...!!

Neya saal aya...!!
Veera'n subho'n ki Neeli teho'n se obhrta..
Kheyyaba'n-o-Dasht-o-Jabal ki Thatharti khamoshi me..
Barfeeli seeti bajata..
Dabey paao'n aya..
Yukh Aalooda shamo'n ki khamoshia'n..
Oss ke Qadmo'n ki Aahat sametey...
Guzr-gaho'n per, saybano'n me, Noha kina'n hain..
Der ati hi sham ko, Daricho'n ki Dararo'n se...
pur-shor Jhonko'n ki be-mohr Thandak..
Brodat zada panio'n per, prindey..
Kinaro'n per Aistaadah pairo'n ki gham-nak...
shakho'n ki Janib orey ja rahey hen...
Makee'n Aangano'n me, chatto'n per..
Dharktey Dilo'n me hazaro'n kheyyalo'n ki shmaie'n jalaye..
Dabey paao'n atey hoye saal ko dekhtey hain...

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka

Lambay safar ki oat mein pal bar nahin ruka
Mein waqt k fareeb mein aa kar nahin ruka

Phir aa gaya aik naya sal dosto...
Is bar bi kisi say december nahin ruka

Lay kar kisi nain haath mein kashkol-e-waqt
Aisa safar kia k kahin per nahin ruka

Manzar kay aks mein koi chera chatakh gaya
Sheshay kay pas aa kay jo pathar nahin ruka

Chalta raha adoo ki safin rondta howa
Lakhon ka khoun-e-jigar kar k b lashkar nahin ruka

Bas yeh howa k Akhri lamha bi aa gaya
Dil ka tawaf koocha-e-dilbar nahin ruka

Wafa ka Sila

Wafa ka Sila

Yehi wafa ka sila hai to koi baat nahi
Ye dard tu nay dia hay to koi baat nahi
Yahi bohat hay k tum dekhti ho Sahil se
K safena dhoob raha hay to koi baat nahi
Rakha tha aina-e-dil main choopa ka tum ko
Wo ghar choor dia hay to koi baat nahi
Tum nay hi aina dil mara banaya tha
Tum nay hi toor dia hay to koi baat nahi
Bilakhar zeesat k kabal bana hoon
Bari moshkal se pathar dil bana hoon
Wo aay hain sarapa-e- jesim ban kar
Main ghabra k mujasma-e-dil bana hoon.
Jahan maqtool hi theray hain mujram
Yahi kuch soch k katal bana hoon
Bara mohtat hon tari mahfil main
Tari janib se so gafil bana hoon
Main kha kar thookrain tari ghali ki
Bra murshad bara kamil bana hoon
Koi samjay ga kiya mujko
Main khod apnay liey mushkal bana hoon

Kaho phir kiya kia jai…?

Kaho phir kiya kia jai…?
Mujhe tum achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho Phir kiya kia jai…?Tumhari jagmagati, Muskurati,
Geet gati, Dil ruba Aankhai’n
Boht gehri Badi katil nihayat
Kushnuma Aankhai’n
Mere Dil se meri Be’tabiyo’n se
Khailti Aankhai’n
Kamoshi ki zuba’n me
mujh se kiya kuch Bolti Aankhai’n
Bazahir Dosto’n me Khil-kilati
Chor Nazro’n se mujhe Muskurati
Aawaz deti Dhunty Aankhai’n
wo meri Rouh K Rukhsar ko
ek faasle Chumti Aankhai’n
Ye sb Batai’n btati hay
Main tum ko Acha lagta ho’n
wo mere Zabth Kho Denay
pe Pemaish bhari Nazrai’n
Ada-e-be’niazi ka wo ek
naa-kaam sa manzar
wo ek Kamzor si be’ittifaqui,
be’rukhi k sir pe ek
Mohoom se kawish
Mujhe ha’n mujhe
yu’n he Nazar andaz
karne ki wo ek
Dil-Chusp si koshis
Sar-e-Mehfil tumhara Raaz
Khul jane k Dhar se
Be’irada gher ehem Logo’n se
Rasm-e-guftogu’n karna
Ye sb Batai’n btati hay
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
kaho phir kiya kia jai…?
Mere be’sakhta fikre
mere Lehjay ki hr Shoki
Mera hr waqt hr ek Simt
tum ko Dhunttai’n rehna
Nazar partay he tum pr
Zor se Dil ka Dharak uthna
Ye sb batai’n btati hay
Mujhe tum Achi lagti ho
Tumhai’n main Acha lagta ho’n
Kaho phir kiya kia jai…?
Hamaray Darmiya’n Rasmo’n, Riwajo’n ka
Samaji martabe ka Umr ka or Khandano’n ka
Boht gehra khala hay
Usay Kesay, Kesay, Kesay pur kiya jai…?
Kaho phir kiya kia jai…?
Kaho phir kiya kia jAi…?

   

KABHI AISA BHI HOTA HAI



KABHI AISA BHI HOTA HAI
KOI BE NAAM SI WAHSHAT MUJHE YU’N GHAIR LETI HAI
HAR IK SHA’I ZEHAR LAGTI HAI
KOI CHEHRA, KOI PEKAR MUJHE ACHA NAHI LAGTA
NIHAYAT DIL RUBA BE HAD HASEE’N, RANGEEN QURBAT BHI
MUJHE BE QAIF KARTI HAI
MUJHE APNI PASANDEDA
WO IK NAMKEEN SI SURAT
PHEKI PHEKI LAGTI HAI
TANAZUR HI BADAL JATA HAI
MERI KHUSH NIGAHI, KHUSH MIZAQI KA
MERE SUNNE MERE CHAKHNE MERE MEHSOOS KARNE KI
HAR IK HISS MAR SI JATI HAI
BUHAT MAQBOOL MERI KHUSH KALAMI BHI
NIHAYAT BE RAAS-O-MAJHOOL LAHJA OORH LETI HAI
PASANDEDA MERA MASHROOB
YANI AAB-E-SARD-O-SADA-SHEEREE’N BHI
SERABI NAHI DETA
ZAROOF-E-KHUSH NUMA MAIN BHAANP DETE
MERI MAA K MEHARBAN AUR TAAQ HATOON SE BANE
LAZAT BHAREY KHANO KI RUGHBAT
UTH SI JATI HAI
KISI K DAST-E-NAZUK SE BANI STRONG COFFEE BHI
MUJHE APNE ANARI HAATH KI CHAI SI KAGTA HAI
AJAB SAFAAK WAHSHAT HAI
MERE DIL KI LUGAT SE
LAFZ KHUSH K JITNE BHI HAI’N
LAHIQE AUR SABQE SAB CHEEN LETI HAI
MAIN IS WAHSHAT SE GHABRA KAR
NISHAT-E-SHER-O-NAGMA MAIN PANAH LENE KO AATA HON
MAGAR IK BE-KALI
IK JAAN LEWA BE-KALI DASTI HI RAHTI HAI
NIHAYAT SAAD-O-PURKAAR LAHJEY MAIN
BAHTER MEER K NASHTAR
WO DIL SOOZI ALAM NAKI
MUSALSAL AAH-O-GIRYA
YAAS-O-HARMA
KUCH BHI TOU MAYAL NAHI KARTE
MERI WAHSHAT K QATIL ZEHAR KO ZAYIL NAHI KARTE
MUJHE GALIB KI UMDA SHAIRI
BHARPOOR SHOKHI, DIL NAWAZI
FALSAFA, GHARAI SAB BE-MANI LAGTEY HAI’N
TA’AJUB HAI K HASRAT KA BUHAT DILKASH TAGAZUL BHI
MERE DIL KO NAHI CHOOTA
JIGAR KI ISHQ MAIN DOOBI TARANUM REEZ GAZLAIN BHI
MUHABBAT KA NASHA TARI NAHI KARTI’N
MIJAZ-E-LAKHNOW KI SHEHAR-E-AFAAQ AAWARA
MERI WAHSHAT K ATISH DAAN MAIN EENDHAN SA BHARTI HAI
MUJHE AKHTAR KI SALMA, JAN.NISAAR AKHTAR KI ANJUM
MUSTUFA ZAIDI KI QATIL LALA RUKH SHAHNAZ BHI
DILKASH NAHI LAGTI
DIYAAR-E-SHARQ KI ABADIYO’N K OONCHEY TEELO PER BHATAKTA
AKHTAR-UL-EEMAAN KA HUMZAAD LARKA BHI MUJHE ACHA NAHI LAGTA
MUJHE MAKHDOOM KI UHD-E-JAWANI KA NIHAYAT DIL NASHEE’N
ROMAAN PARWAR RANG BHI BE-RANG LAGTA HAI
MUJHE SAHIR KI DIL KO AANCH DETI SHAIRI
BEZAAR KARTI HAI
HAMARE FAIZ SAHAB K BUHAT MADHAM SULAGTEY NARM LEHJE KI KASAK
YUNHI SI LAGTI HAI
MUJHE RASHID KI WAHSHAT KHAIZ BANHO MAIN THIRAKTI
DILRUBA JIDDAT TABA HUM RAQS BHI
KOHNA SI LAGTI HAI
MAJEED AMJAD K MISROO’N KA TASALSUL
MUNFARID MOUZOO, KAMAL-E-NAZM GOI AUR TA’ASUR
MUJH PE KOI KAIFIAT TARI NAHI KARTE
MAIN APNE DIL SE AKSAR POCHTA HO’N
AE DIL-E-WAHSHI
YE AALAM KAISA AALAM HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
MUJHE KYUN GHAIR LETI HIA
BADAN MAIN GOONJTI, MERE LAHOO MAIN SANSANATI HAI
YE WAHSHAT KAISI WAHSHAT HAI
KAHAN SE HO K AATI HAI
YE KIS RAHLAT KA NOHA HAI
YE KIS HASRAT KA HASIL HAI
GUZISTA SHAB YAHI WAHSHAT
MERE DIL PER MUSALAT THI
MUSALSAL KARWATAIN THI’N, JAAN LEWA BE-KALI SI THI
ACHNAK DIL KI BE-TARTEEB DHARKAN NE
SUKOOT-E-SHAB KO YU’N TOORA
“SUNO HARE HOE INSAA’N!!
BHALA KAB TAK TUMHARI KHUD FAREBI
TUM KO IS WAHSHAT MAIN RAKHE GI?
JINHAIN TUM ZINDAGI SE BE-DAKHAL KAR K
BAZAHIR FATEHANA SHAAN SE ITRATE PHIRTE HO
ABHI TAK ZEHAN-O-DIL PER
ROOH PER QABZA UNHI KA HAI
YE WAHSHAT IK KASAK HAI, GUMSHUDA LOGOO K KHONE KI
YE WAHSHAT HI SABAB HAI IS TARHA BE-ASHK RONE KI”

Mohabbat bohat possessive hoti hai

Mohabbat bohat possessive hoti hai
Es lye mai bhi bohat possessive hon
Tumhary mamlay me koi shirkat, koi batwara koi taqseem
Mujhe qubool nahi hai, bilkul bhi nahi hai, hargiz nahi hai
Es liye kah mohabbat possessive hote hai
Ho sakta hai tumhe mai bohat narrow minded lagon
Ho sakta hai k tum kaho k yeh shaks kitna akhar hai
Kitna proud aur kitni feudal lords jaisi eske zahaniyat hai
Mohabbat me ijarah dari kyon karta hai
Magar mujhe pata hai jab tum akalay me baith k socho ge jab mai nahi hounga
To tum kaho ge uska possessive hona mujhe kitna acha lagta tha
Pyar to haq jatanay ka naam hai na wo kaisy bhala yeh baat gawara karta
Koi aur mujhe dekhay, koi aur meri tareef karay, koi aur mujhe mehsoos karay, koi aur mujhse baat karay
Wo kaisy gawara karta uskay mohabbat thi na, aur mohabbat to possessive hote hai
Aj wo nahi hai magar aye Allah, mai usay kitna yaad karte hon, ab kon hai jo mery lye possessive ho
 Main tanha reh gaye hon, es liye k mohabbat to possessive hote hai.

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai

Tumhain dekha nahi jana nahi phir bhi ye lagta hai
QABILA aik hai apna

Wohi dard-e-judai, wohi bhegi hoi palkain
NASEEBA aik hai apna

Kisi se kuch nahi kahna, koi shikwa nahi karna
QAREENA aik hai apna
Kisi ki yaad se, verana dil jagmaga lena
KHAZEENA aik hai apna

Yaqeen ki akhri haad tak, milan ki khush gumani hai
NATEEJA aik hai apna

UnKahi K Lehjay Main



UnKahi K Lehjay Main
Kya Kya Nahi Kaha Hum Ne
Un Soo’Ne K Parday Main
Kya Kya Nahi Sona Tum Ne

Raaz Jo Nahi Khulta!
Jante Hain Hum 2no

Bat Jo Nahi Karte
Mantey Hain Hum 2no

Dhund Chayee Rehti Hai
Ke’hair Jaisa Alaam Hai
Dil ‘Zadoo Ki Basti K
Kya Ajeeb Mosaam Hai

Ak Mehak Fasorda See
Jaisay FAIZ Ki Naz’men
Yaad Ki Kasak Ho Jaisay
FARAZ Ki Ghaz’lein

Soch Ak Jaisee Hai
Khuwab Ak Jaisay Hain
Door Door Reh Kar Bhi
Sath 7 Chalte Hain
Khush’Gomaniyaan Dil Ki
Kaan Main Ye Kehti Hain

Doo’riyoon Say Darna Kya
Aahh’Hay’Sard Bharna Kya

Asee Roth Bhi Ayee Ge
Jab K Shak’khay’Farwa Par

Mas’lay Gul Khe’lain Gay Hum
Ak Din Melain Gay Hum……………!

Saturday, December 17, 2011

Main khaak ban kar pada howa hoon

Main khaak ban kar pada howa hoon
Kisi nazar se gira howa hoon

Mujhey gumaan tha tera rahon ga
na janey kiyun phir juda howa hoon

do char pal bhi tehar saka na
kisi safar ki saza howa hoon

nahi tammana manzilon ki
safar la hasil bana howa hoon

na pocho meri khata ye mujh se
shajar be-saya jala howa hoon
Best Blogger Tips



Ye Bhool Hai usKi


Ye Bhool Hai usKi K Aaghaaz-e-Guftagu Hum Karain Gay
Hum To Khud Se Rooth Jaaen To Sadiyon Khamosh Rehtay Hain
Best Blogger Tips



Rooh tak nilam ho jati hai Bazar-E-Ishq main


Rooh tak nilam ho jati hai Bazar-E-Ishq main
Itna Aasaan nahi hota kisi ko Apna Bana lena
Best Blogger Tips



Na chair qissa-e-ulfat barri lambi kahaani hai

Na chair qissa-e-ulfat barri lambi kahaani hai,
Main zamaane se nahi haara kisi ki baat maani hai

mat pooch sheshay se us k totnay ki waja

mat pooch sheshay se us k totnay ki waja
us ne bhi meri tarhan kisi pathar ko apna samjha hoga

Meri Har Saans se wabasta hai teri yaadein

Meri Har Saans se wabasta hai teri yaadein
Shayad Ke Tere Khyalon Mein Mera Naam Tak Na Ho!!!

Kabhi jo tum lout kar aana

Kabhi jo tum lout kar aana
Sang apney kuch housley
Bhi le aana
Gardish-e-ayyam bhaut zalim hai
Naqoosh-e-yaad-e-rafta mita deti hai
Phir bhi jo tum ne
Sanbhal rakhain hoon
Chand gohar hamari ulffat ke
Unhey sang le aana

Kiyun ke
Wohi ab tumhara
Aasasa hain
Wohi ab tumhara aasra hain

Key
Ab yahan main nahi rehta
Key
Teray shehar se nikal kar
Shehar-e-khamoshan ja basa hoon main
Key
Main teray dil mein nahi rehta

november phir udaas hai

november phir udaas hai

Ajnabi si raahon mein,
Door tak nigahon mein,
Berukhi ka mausam hai,

Aaj phir nigahon ko,
Beete pal ki pyaas hai,

Phir raha hoon darbadar,
Mojzay ki aas hai,
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAI,

Baat to kare koi,?
Saath to chale koi,?
Khamoshi ka pehra hai,?
Zakhm dil ka gehra hai,?
kisi apne ki mujhe talaash hai,..?
Aisa lagta hai jaise,

November PHIR UDAAS HAi…!!

Kuch pal pehlay neend se

Kuch pal pehlay neend se
Aankhain moonde leta houa tha
Kuch aahat si teray qadmon ki
Samaaton ke pardey per
Goonji tu thi magar
Mai wehm samajh kar tal gaya

Janey kiyun suni unsuni kar gaya
Shayed
Teray lout aney ki
Wo mooham si
Shama-e-umeed

Intizaar ki be-reham aandihyun mein
Aakhri saans letay letay
Bujh gaye hain………

Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain

Meray Khuwab Meray Sapnay Meray Tak Hain
Meray Baad Enhay Yaad Karay Ga Kaun

Meri Chahaat Ban Jaye Gi Afsana
Meri Mohabat Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meray Tak Hain Yeh Tamam Sunder Nazaray
Meray Baad Enhay Aabad Karay Ga Kaun

Meri Kahaniyian Bikhrein Gi Rahoon Pay
Meray Afsanoon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Khatayon Ko Shumar Karay Ga Zamana
Meri Wafayon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Jo Guzaray Thay Hum Nay Zamanay Mill Kay
Un Zamanon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Meri Aahein Meray Saath Ho Jaien Gi Dafan
Meray Aashkon Ko Yaad Karay Ga Kaun

Ek Tum Say Hai Zinda Yeh Chahaat Meri
Tum Hee Na Ho Gay Tuo Yaad Karay Ga Kaun

Aa Kay Es Saath Ko Yaadgar Bana Lien
Kal Kiya Pata Es Yaad Ko Yaad Karay Ga Kaun.!

Sadgi-e-ishq hum se na pochiye

Sadgi-e-ishq hum se na pochiye
Kis tarah houay barbad
Hum se na pocheye
Ye dastan-e-hijr-o-vasl hai
Suniye ga to tarap jaye ga
Kehta hon phir
Sitam rah-e-wafa hum se na pochiye
Jal jayen gi samaatain
Koh jayen gi baseeratin
Tehar jayen ge laboon ki
Janbishain
Toot jayen ge sub qalam
Ye jaza-e-sadgi hum se na pochiye

chandni december ki

chandni december ki


Raat us ne pucha tha
tum ko kesi lagti hai??
chandni december ki
main ny kehna chaha
saal-o-mah k baary main
guftagu k kya mainy?
chahy koi manzr ho
dasht ho ' smandar ho
jun ho ' Decmber ho
darkano ka hr ngma
qurbaton ka hr lamha
manzron pe bhari hai
sath jb tmhara ho
dil ko ik sahara ho
aisa lagta hai ' jesy
ik nasha sa tari hai
lekin us ki qurbat main
kuch nahi kaha main nay
takti reh gai mujh ko
chandni december ki

Roz Roz Aankhon Tale Ek Hi Sapanaa Chale

Roz Roz Aankhon Tale Ek Hi Sapanaa Chale
Raat Bhar Kaajal Jale, Aankh Men Jis Tarah
Khwaab Kaa Diyaa Jale
Jabase Tumhaari naam Ki Misari Honth Lagaayi Hai
Mithaa Saa Gam Hai, Aur Mithi Si Tanhaai Hai
Roz Roz Aankhon Tale
Chhoti Si Dil Ki Ulajhan Hai Ye Sulajhaa Do Tum
Jinaa To Sikhaa Hai Marake, Maranaa Sikhaa Do Tum
Roz Roz Aankhon Tale
Aankhon Par Kuchh Aise Tumane Zulf Giraa Di Hai
Bechaare Se Kuchh Kvaabon Ki nind UDaa Di Hai
Roz Roz Aankhon Tale

Ye aahatain Ye sarsarahatain

Ye aahatain
Ye sarsarahatain
Sookhey houay patton ki
Ye to hain shikayetain
Mat gumman kar
Kisi anjaan ka
Ye
Saraab hain
Azaab hain
Bhool ja unhain bhool ja

Dil bhool nahi pata wo khawab muhabat ka



Dil bhool nahi pata
wo khawab muhabat ka
eik bhaid anokha hai
jab sochnay bethu
kuch yad nahi ata
eik pal k liye phir bhi
wo khawab muhabbat ka
bechain ju guzri hein
raatein to buhat se thein
batein to buhat se thein
wo samnay aya tu
sab bhool gaye mujh ko
kuch yaad nahin ata
dil bhool nahin pata

kuch udaas kuch khamosh

kuch udaas kuch khamosh
kuch bebas see lakeerien mere
haath ki?
Dhoondta Rehta hoon aksar in Lakeeron main
Aik lakeer tere naam ki
Kuch maloom bhi hey
Kuch dil bhi janta hey
Ke in lakeeron main koi lakeer Nahi tere naam ki
Phir bhi naa jane kion dhondta Rehta hoon
Aksar ek lakeer tere naam ki
Aik lakeer
terey naam ki....

Sitarey sabhi hum teray naam kartey

Sitarey sabhi hum teray naam kartey
Muhabbat saja kar haseen shaam kartey

Humain kuch atta ho teray aastaan se
Ghulami teri hum ye bey daam kartey

Chupa kar chaley hum sabhi chahaton ko
Suna kar ye qissay na bad naam kartey

Barastey na hotey ye pather shehar may
Hawaley guloon ke dar-o-baam kartey

Kabhi tum giratey ye mann ke button ko
Haseen aik Khuda hum teray naam kartey

Wo shaks aj tak mujhay yunhi bar bar azmata raha

Wo shaks aj tak mujhay yunhi bar bar azmata raha
bewafa mujhay ab keh diya tu kion mujhay chahta raha

mainay ro ro ker safaii di usnay jhooti smjhi meri siskian
main murjha kar zameen per gir gai wo phr b mjhay tukhrata raha

mera kasoor kia hai wo batata b nahi,nazr mjhsay milata nahi
phr kion mjhay her bar wo her muqam pay rulata raha

mainay chahatoun ki inteha thi ki mgr phr b najany kion
wo rastay mai her mor per mjhay anjan samjh ker girata raha

mera dil bhi kitna masoom hai zara daikho na tum dostoun
aj b ye duaen sham-o-sehr,uski salamti k liye mangta raha

wo aj be-khabr hai meray hal say,najanay kion aye Khuda..!
mera wajood khud main phir b usko talash kerta raha

uska kehna hai k main nay sataya hai usay had se barh ker..!
wo nadaan hai samjha nahi,mera dil kitnay sapnay sajata raha

Mujhe Who Zamany Main Muddaton Aazmaati Rahi

Mujhe Who Zamany Main Muddaton Aazmaati Rahi….
Har Lamha Meri Mushkilon Ko Badhaati Rahi

Jeene Ko To Main Yoon Hi Zindagi Jeeta Raha….
Main Saans Leta Raha, Woh Door Sy Door Jate Rahi

Musibaton Ka Hans Kar Maine Saamna Jo Kiya….
Woh Mujhpar Aur Bhi Musibatein Dhaati Rahi

Main Uski Nawazishon Par Muskuraata Raha….
Aur Woh Tanzia Mujhpar Muskuraati Rahi

Main Usay Apni Baylos Mohabat Dikhata Raha….
Who Apnay Chahnay Waloon Ka Zikar Karti Rahi

Zindagi Jeenay Ka Saleeka Na Aaya Mujhe….
Shayed Isi Liye Woh Mujhe Sataati Rahi

Kisko Rafeeq Samjhoon Aur Kisko Raqeeb….
Apni Parchai Se Bhi Mujhe Daraati Rahi

Main Smajhta Raha Main Wahid Hasti Hoon Shied….
Who Dosroon Say Apnay Rishtay Nebhati Rahi

Main Rota Raha, Chupta Raha Apnay He Zmeer Say….
Who Mujhy Apnay Sathi Ginwatee Rahi

Ab To Baaki Hi Na Rahi Kisi Cheez Ki Talab….
Des Parades Woh Mujhe Itna Rulati Rahi

Main Trasta Raha Uskay Hontoon Ke Mehak Ko….
Who Apnay Lafzoon Main Karwahad Barhati Rahi

mujhse pocha phir se kal raat us chand ne

mujhse pocha phir se
kal raat us chand ne
k kion tum din main akhir
mujhay bhula daitay ho
raat k angan main
mri chandni to
teray chehray say
guzar kr jati hai
phr kion tum mri wafaon ko
yun achanak jhutla daitay ho
main kuch dair yunhi
is raat k pehr main
chand ki batain sunti hi rahi
sard hawaon k jhokoun say
apni tanhai jhalakti hi rahi
meray honthoun ki tartrahat
na kuch kehnay mjhay daiti
meray ansoo meri palkoun pr
kuch dair qaid to rahay
phr achanak na janay kion
kisi door ik ghar say
kisi bachay k ronay ki
awazain anay lagi mujhko
meri ankhain mujhi say hi
ajab aik sawal ker baithi
k yeh akhir koun rota hai
yeh masoom awaz kis ki hai
mjhay kisnay pukara hai
mri halat na ab phr se
kisi sitaray say daikhi jaye
achnak phr se mjhsay wo
chand kehnay laga ye k
awazain na samjh paye
yeh dunia walay na janay kion
chalo main hi batata hn
zara tum ghour say sunna
sisaknay ki awazain yeh
tumharay dil ki hain janam..!

In taiz sumandar ki lehroun say

In taiz sumandar ki lehroun say
kuch khamosh si batain kerti hoon
khuda janay is kismat ki
jo hum khud hi banaya kertay hain
kuch pal jo puranay guzr gaye
wo us sham ki baat kiya krtay hain
bus itna hi ab kehna hai
her Saans k saath tujhe yaad kiya karte hain
raat k angan main ab aksar
yunhi hasti gati phirti hoon
jab chand b tanha hota hai
aur chandni palkoun tak ati hai
ek ajab si ahat is dil main
betab si ker kay jati hai
main door khilay un pholoun ko
phr chup si baith k daikhti hoon
har taraf andhaira raatoun ka
aur dard ka alam hota hai
in urti hawaon mein aksar
aik sada si goonjh k jati hai
main phr say behak si jati hoon
aur tanha tanha rahoun per
us awaz k peechay jati hoon
achnak say kuch yad aya
main roti roti jati hoon
phr aik sanata sa cha jata hai
jab samnay ja kr daikhti hoon
to aik tariki si wo hoti hai
kuch siskian sunai si daiti hain
jo chand ki mehkti kirnoun main
wo jagah mai ja kr daikhti hn
to tarap si main b jati hn
aik qabr andhairi khali hai
pr ansoo girtay jatay hain
kuch bichray puranay apnay hi
un qabroun main soe hotay hain
mjhko to pukara tha usnay
mgr dair say main to phounchi thi
ab kia gila mai krti phiroun
anjan to tab dunia b thi
phr lout k wapis jati hoon
aur phr door akailay chaltay hoe
main chand k ghar mai jati hoon
In taiz sumandar ki lehroun say
kuch khamosh si batain kerti hoon
khuda janay is kismat ki
jo hum khud hi banaya kertay hain

kal badloun ki chaon main

kal badloun ki chaon main
Thandi hawa k zor say
mera anchal jo lehraya
mainay bus yahi kaha tha tab
suno aye badloun tehro..!
mera aik kam to kerna
meri zndagi main jab
jo khushian anay wali
khuda ki rehmat chanay wali ho
to barish meray ghar pe b
tum thori barsa k jana
ye qissa ajab hi hai logoun
kal sham say najanay kion
Baarish rukti hi nahi hai..!

tum ne pocha hai mujhse

tum ne pocha hai mujhse
k kion mujhay koi gila hai tumsay
meri khamosh nigahoun ko
na samjha hai sabnay
mujhko maloom hi nahi hai
meri is udassi ka sabab
her bar tumhsay yun
jhagarnay ka sabab
kuch pal hain puranay
jo mujhay jee nahi daitay
main jo marna chahoun
to wo marnay b nahi daitay
ab in ansooun ko mai
chupaon kis say
tum nay pocha hai mujhsay
k kion koi gila hai tumsay
ab kia bataon main
sar-e-aam majborian apni
tera dil to buhat hi janam
aashna hai mujhsay
kia kahun main ab
k kion shikwa hai sabsay
tumnay pocha hai mujhsay
k kion koi gila hai tumsay..!!

yunhi kal raat ko janam

yunhi kal raat ko janam
ajab si soch main gum thi
teri batain teri yadain
ab mjhay tanha nahi kerti
yunhi hastay hoye aksar
najanay phr se kion ab b
purani kuch haseen batain
mjhay phr se rulati hain
yahi daikh ker ker aksar
meri ankhain barasti hain
magar aik baat yeh b hai
teri masoom si batain
mujhay phr se hasati hain
mujhay ronay nahin daiti
magar ab kia karun main b
muqadar main jo likha hai
khuda hi janta bus hai
yahi samjh ker janam
main kal raat ko pyaray
ajab si soch main gum thi..!!

sach yahi hai meray dost

sach yahi hai meray dost
k ab achi nahi lagti
mjhay khuch khas ye dunia
najanay kion yunhi aksar
kabhi tanhaiyoun main apni...
khayal-e-mout aye to
chalak jati hain ye ankhain
ab kia tasalli doon
apnay betaab dil ko main
ajab mushkil main ho ab likin
yaqeen khuda pe rakhti hn
chalo acha hai k ab logoun
kisi ko asal chahat nahi mjhsay
kam az kam yad ker k to
koi roye ga na phr mjhko
qabr meri kabhi aye dost
ansooun say na bheegay
ab yeh hi muqadar hai
yahi tarz-e-zndgi b hai
k khushi kisi k daman main
hamesha nahi rehti
yeh to aik gulshan ki tarhan
jahan akhir bahar ko
bus AANA AUR JANA HAI...!

Chandni raat

Chandni raat...
aj hotoun pe bikhri hoi hasi se meri
ankhoun ki chamak hosh mai ayi hai
in chorion ki awaz se
in zulfoun ki thandak se
kisi khamosh se lamhay nay
aik dharktay dil mai
yeh ajab agg laga di janam
bus yahi baat sansoun nay
ajab andaz mai kerdi
suno tum pagal larki ho
zara si chanchal larki ho
sahil k kinaray pr
aj tum lout k jao to
wahan par ja k tum hasna
khushian daman mai smait laina
aur itna hi tum krna
chandni raat k anchal se
wahan tum ja k ab lipto..!!

yeh sach kaha tum ne

yeh sach kaha tum ne
udasi meray chehray pr
zara achi nahi lagti
chalo main man laiti hn
tumhara yeh b kehna ab
k mai hasti rahungi bas
magar yeh b to rona
sabhi ka yeh hi kehna hai
k mil skta nai kuch b
kisi b baat se pehlay
main ek majbor larki hn
bht hi toot si jati hn
jab yeh hi yad ata hai
k ab milna mjhay tera
Khuda k hath mai hi hai
suno..!!
hum aisa kertay hain
kisi se kuch nai kehtay
bus krtay hain ab dono
ro ro k duaen bus
jo taqdeer sath mai hogi to
lakerain hathoun mai jo hogi to
tujhay phr mil hi jaega
teray khawoboun ka wo ek ghar
chalo ab tum kehtay ho
to ansoo ankhoun mai rakhtay hain
tumsay kuch nai kehti
main ab hasti rahuungi bas..!!

main aaj chup hi baithi thi

main aaj chup hi baithi thi
zara gumsum si baithi thi
k achanak is tasalsul ko
kisi aahat nay mita diya
main ghabra k bhagi thi
akhir ye dastak kis ki hai
zara jani pehchani hai
magar main bhool gai tab
k is ghar k agan main
kabhi khushian nai ati
magar yeh kia k aj aik
kisi ka paigam aya tha
yahi likha tha bus us mai
k wo lout ayega
bht hi jald ayega
main kuch hairan khari thi
kuch pareshan khari thi
magar phr man liya mainay
baharain phr se ayen gi
mera anchal urayen gi
achanak rooh nay mri
mjhse ajab sawal kr dia
k yeh jo lout k aye ga
bht hi jald jo ayega
kia kabhi koi milnay dayga
tumhay is shkas se pagal
yeh zamana kabhi nai krta
kisi k haq main insaaf
yeh baat sun ker main
kuch hairan baithi thi
zara gum khawar baithi thi
main aj chup si baithi thi
bari gum sum si baithi thi

main ne socha chalo ker lay hum koi samjhota

main ne socha chalo ker lay
hum koi samjhota is dil se
magar yeh kia k mri dharkan
bagawat dil se kerti hai
zara daikho tum a ker
kyoun hairan main b hoon
suna hai uski chahat main
milawat had se ziada thi
chalo mana k ye anayat
qiyamat phir se kerti hai
mri ankhain mri palkain
ab nam achi nahin lagti
jo pathar tha ab tota
her sabr b uska
kushion ki yeh barish
suno tum jan lo logoun
ek roz meray agan main
phir se jhoom k hogi..!!

kahan hain khata ki saza denay waley

kahan hain khata ki saza denay waley
bina baat ke hi dua denay waley

jahaN may sabhi dard hi baant-tey haiN
kahaN hum talashaiN dawa denay waley

butoN ki tijarat buhat ho rehi hai
batao kahaN haiN khuda denay waley

lipat kar hawa se qadam ro rehaiN haiN
kahaN haiN nishaN ka pata denay waley

ghutan hai ke barhti chali ja rehi hai
kahaN se ley aayeN hawa denay waley

Suno..! ik baat kehni hai

Suno..!

ik baat kehni hai

mere dill mein hai khahish ek

tumhain batlani hai

suno....!

mujhe choo kar tum

meri chahaton keh geet

amar kar do

suno...!

ik baat kehni hai

meri baat sun lo tum

mein deewani hoon

pyaar ki mari

mujhe arzaan na kar dena

suno....!

ik baat kehni hai

mujhe apna banaye rakhna

mujhe tanha na kar dena

suno....!

ik baat kehni hai

mujhe tumse muhabbat hai

mujhe tumse Muhabbat hai

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

" Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

woh kehta hay us ke soch buland hay both
usay btaya bhe tha mujhy bulandi say dar lagta hay

woh kehta hay usay zmanay kay sath chalna hay
usay btaya bhe tha mayre is halat ka sabab he zmana hay

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

woh kehta hay hasi har chahray per usay achi lagti hay
usay btaya bhe tha mujhy har chahray main tlash na kar

woh kehta hay usay pyar hay logoon say
usay btaya bhe tha mujhy logoon main shumar na kar

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

woh kehta hay main both khoob likhta hoon
usay btaya bhe tha main dard kay alam main he shire karta hoon

woh kehta hay usay both pyar hay mujhsay
usay btaya bhe tha mayra dil bhe sboot mangta hay

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

woh kehta hay main usko dukh dayta hoon both
usay btaya bhe tha main us ke batoon ko dil main nehi rakhta

woh kehta hay mayray chor janay ka dar hay usay
usay btaya bhe tha hamzad say dra nehi kartay

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

woh kehta hay abhi namehram hay woh mayray leya
usay btaya bhe tha jismoon ko pana mayra shook nehi

woh kehta hay uskay dil main dard hay both
usay btaya bhe tha manay dard main dil ko chupa raka hay

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay

Mayra dil kehta hay woh zara magroor sa hay"

bus yahi kehna hai

bus yahi kehna hai
humay tumsay aye dost
bharosa toot jae to
dil bechain hota
zindgi badal si jati hai
ansoun tarap se jatay hain
kabhi chahat jo kr bhaito
kisi shaks ko panay ki
na betab hona tum
bus mujhko pukar laina
chandni mra hi aks hai dost
tumharay pas aongi
tumhari mushkil mitaongi
suno ye na kehna tum
k kuch pal to ruk jao
mujhay buhat takleef hoti hai
jab mai hasnay lagti hon
kuch yad ata hai
mai phir tarapnay lagti hoon
buhat phir ronay kagti hoon
chandni bujh si jati hai
subah phr jag jati hai
bht hoti hai khush dunia
wo to yahi smjhtay hain
unhay neya din mila hai ik
magar koi na janay
beeti raat ka fasana..!!

Hota na agar pyar to

Hota na agar pyar to
koun hasta yahan par
hoti na agar nafrat to
koun manata kisi ko
pyar wo shabnam hai
jo her roz nai milti
nafrat b wo ik atish hai
jo hr waqt nai jalti
koun hai mera mai
yahan kisko pukaroun
youn to ashiq meray
lakhoun hai zamanay mai
jo hai mujhay pyara
usay mai kaisay bhula doon
kion dunia k riwajoun nay
humay majbor kia hai
k atebar k bina hi
humnay pyar kia hai
wo kehta hai k
tum mujhay yad ati ho
dil schata hai k
wo kaisay badal gea
jo shaks kabhi mur kr
mujhay daikhta na tha
aj uska dawa hai
muhabbat hogai usko..!!

Na Samjha Koi..!!

Meray dil ki tanhai ko na smjha koi
meri hasi mai chupay dard ko na smjha koi

us nay kaha mujhsay tum nadan ho buhat
likn meray lehjay mai chupi majbori ko na smjha koi

mainay chaha to buhat k khamosh rahun
likin meri ulfat ki gehrai ko na smjha koi

usnay sach hi kaha k main magroor hoon bht
shyed mri ankhoun k dard ko na smjha koi

yunhi pathra gai meri palkain taiz barish main
meri rooh ki tanhaii ko na samjha koi

main na badli thi na badli hn na badloungi kabhi
main to pagal hon bus yahi na samjha koi

usnay ilzam diya bewafai ka mujhay na janay kion khuda..!
meri her sans jisay bulati thi,is sada ko hi na smjha koi

meri siskian sun ker b shyed na mana dil uska
meray ansoun ki tarap ko na samjha koi

wo mangta hai mjhsay meri wafa ka sabot Allah
meri jaan ki qadar ko shyed na samjha koi

Na janay kion yeh lagta hai

Na janay kion yeh lagta hai
main kuch bhool bhaiti hoon
shayed apna ap meray janam
suno yun dor mat jana
mai buhat bikhar si jaon gi
zara daikho yeh lal jora
yeh tum lay ker aye ho
aur yeh chorian janam
mujhay achi to lagti hain
magar ek dar hai dil mai
k ye dunia ki haqeqat hai
k ek roz to sab ko
yahan se lout k jana hai
mujhay khouf hai janam
k mri jaan to tum ho
kahin kuch hogea tum ko
mai kabhi ji na paongi
suno aj ye kasam lay lo
agar koi mar gea pehlay
hum dono mai se chand
to dosra hath tham layga
phir hum sath mai jiye gain
aur hum sath mai marain gain
to phir mera lal ye jora
kabhi sfaid na hoga
mai umar bhar yunhi
bani DULHAN hi rahoun gi..!!

Muhabbat Hogai Mujhko Ek Shaks Se Aisay

Muhabbat Hogai Mujhko
Ek Shaks Se Aisay
Jis Per Yaqen Nai Humko
Magar Phir B Najanay Kion
Muhabat Hogai Mujhko
Chand Kal Raat Utra Tha
Meray Ghar K Agan Main
Buhat Roya Tha Wo A Kar
Yahi Kehta Raha Mujhse
Suno..!!
Tum Man Jao Ab
Yun Zid Achi Nai Hoti
Tumhari Jheel si Ankhain
Yun Nam Achi Nai Lagti
Jab Atebar Nai Tumko
To Phir Kion Pyar Kerti Ho
Jab Yeh Janti Ho Tum
K Wo Tumko Mil Na Paega
Yeh Zamana Rokta Hai To
Phir Smjhti Nai Tum Kion
Muhabat Achi Nai Hoti
Yeh Jala Ker Khak Kerti Hai
Buhat Hi Dard Daiti Hai
Suno..!!
Aik Baat Kahoun Mai Ab
Mujhay Aisay Na Tum Daikho
Tumharay Hountoun Ki Thartarahat
Mujhay Be-Noor Ker Day Gi
Aj Teray Agan Mai Aya Hoon
Bus Yahi Tumsay Kehnay
K Muhabat Ho Gai Mujhko
Haan Tumsay Hogai Mujhko
Tum Jeet Gai Mujhse
Muhabbat hogai Tumsay
Haan..!!
Muhabbat Hogai Mujhko..

Pyar Howa Hai Mujhko jabse

Pyar Howa Hai Mujhko jabse
Ye Chanchal Shouq Hawaen Tabse
Mujhko Chairti Jati Hain
Sab Ko Batati Jati Hain
Jeena Mujhko A Sa Gea
Rona Mujhko Kuch Sikha Sa Gea Hai
Aksar apni tanhaiyoun mai
Main Usko Bulaya Kerti hoon
Nazmoun Ka Apni Unwan Bana kar
Sab ko Sunaya Kerti Hoon
Phir Achanak Se Kuch Yaad Ata Hai
Main Phir Dil Ko Behlaya Kerti Hoon
Milan Hoga Ek Roz Humara
Khud Ko Samjhaya Kerti Hoon
Ab Jo Kerna Hai Kismat Nay
Mai Rab Se Mangaya Kerti Hoon

ankhon main jo tha khawab

ankhon main jo tha khawab
wo kisi nay bhi nahi jana
kal rat us dard ka azab
wo kisi nay bhi nahi jana
meri palkoun pay jo thehra tha
meri sansoun main jo rehta tha
wo kia tha ajab ehsas
wo kisi nay bhi nahi jana
yunhi sochti rehti hoon
kion tarapti hai meri tanhaii
us dard ki shiddat ko
kion kisi nay bhi nahi jana
Ae Khuda..!!
ab tu hi mjhay samjha
kion judaii hi muqadar hai
auroun se kia shikwa karun
gila kion main kisi se karun
jab tu hi meray Malik
reham mjh pr nai kerta
Ae meray Allah tu
bus itna hi bata day ab
jo ghum meray andar hai
jo dukh mujhay marta hai
kia tunay bhi nahi jana..??

Hum roz batain kertay hain apni tanhai kay daman se

Hum roz batain kertay hain apni tanhai kay daman se
Shab-e-wasl ka intezar krtay hain in jagti aankhoun se

Najanay kab hum loutain us shehr mai jana
Her raat duaen mangtay hain in kanptay hathoun se

Dil tham kay bhaitay hain ek arsay say hum apna
Dard ki shiddat barhatay hain log batoun ki aatish se

Ab apna guzara mumkin nai is dunia main ae Dost
Saman-e-Akhrat bandh ker chalay hum to is Mehfil se

Aghaz-e-safar ka khayal ata hai

Aghaz-e-safar ka khayal ata hai
to yeh palkain bheeg jati hain

Kangan meray hathoun se jab chotay
to yeh palkein bheeg jati hain

Shab-e-furqat ka wo pehr
jab Dulhan bani thi main

Ab jab bhi Mehndi lagati hn
to palkain bheeg jati hain

Safaid rang main daikhun kabhi samnay khushi
To najany kion yeh palkain bheeg jati hain

Shab-e-tanhai ka alam tha

Shab-e-tanhai ka alam tha
main khari thi teri raah main
k kash to kabhi lout aye
mujhay kabhi tu sada to day
baarish bht taiz thi
main roti rahi roti rahi
mray ansoun kuch khas thay
kisi nay a kay sambhal liye
teray kafn ka ek tukra dost
aj b mray pas hai
jis main to so gea
wo miiti meray pass hai
najanay kion main aj b
ek umeed lay kr baithi hn
tum ao gay
tum ao gay
ek rozz tum ao gay..!!

Mujhe pyar se shikwa nahi

Mujhe pyar se shikwa nahi
Meray dil ka yeh jawab hai
Jo zndgi hai wo guzar day
Jo mushkil hai wo sanwar day
Tu kion udas hai meri jaan
yeh Kafn mujhko udhar day
kabhi sochti hoon k ae dost
Yeh waqt b kitna ajeeb hai
Wo Pass ho kr bhi Door tha
Ab Door ho ker bhi Pass hai

suna hai log kehtay hain

suna hai log kehtay hain
yahan muhabat nam hai tera
meri ruswai k agay
teri judaii ka ghar hai
suno..!!
yun acha nai hota
kisi k dil se jana
yahan aashian roz nai bntay
yunhi tum lout jatay ho
kabhi wapis b atay ho..?
haan..!! mujhay yad aya ab
tum wapis b atay ho
magar jab chor jatay hain
saray dost tumharay jab
tumhain sahara nai milta
kisi k sath ronay ka
phr tum lout atay ho
mjhay b khoob satatay ho
suno..!!
yun acha nai hota
kisi k dil say jana..

Muhabbat zindgi hai yeh mantay hain hum

Muhabbat zindgi hai yeh mantay hain hum
Dillagi sukoon hai yeh jantay hain hum

Shab-e-wasl ka intezar her aik ko hota hai
Likin rooh-e-yar se wisal chahtay hain hum

Ghamoun Ki Barish to her mousam mai hoti hai
Inhi Dukhoun Ki Mehfil-e-tanhaii sajatay hain hum

Meri Ulfatoun Ko Charagoun sa na samjho Yaro..!!
Dil ki aatish ko nazroun say jalatay hain hum..

Meri jaan Teri chahat se shikwa nahi mujhko

Meri jaan Teri chahat se shikwa nahi mujhko
Bus dukh hai k jo chaha kabhi mila nai mjhko

Yun to aashiq hazroun hai dunia mai likin
jo dewana chaha tha wo kahin mila nai mujhko

Jab tum milay mjhko to dil jhoom utha tha
magar wo ek ajab qarar phr b mila nai mjhko

Sab yahi kehtay hain k tum bewafa ho janam
bus yahi ek sach abhi tk mila nai mjko

Tujh pr yaqeen to hai mjhko ae meray Humsafar
Likin zamanay say jo manga wo kabhi mila nai mjhko

Meri tamana baqi nahi ab jana

Meri tamana baqi nahi ab jana
jabsay tum milay mjhko
zara tum lout ao to
yahi behtar hai mray dost
yun roz acha nai hota
kisi k dil mai a ker bhi
usay apna nai kehna
chalo main man laiti hoon
tumhri shaan kafi hai
magar..!!
yeh soch to zalim
teray kis kam aayegi
yeh khushian kuch nai hoti
zara kal ka bhi to kuch soch
main tujhse ab bhi kehti hn
k yun roz acha nai hota
kisi k dil mai a ker bhi
usay apna nahi kehna...!!

waday bhi kerta hai

waday bhi kerta hai
wo buhat muhabat b kerta hai
ek shaks hai aisa
jo shikayat b kerta hai
mjh maloom nai hota
wo jan jata hai
her raz meray dil ka
ek shaks hai aisa
jo phir chahat bhi kerta hai..!!

jo shaks kehta tha nahi wo reh nahi sakta

jo shaks kehta tha
nahi wo reh nahi sakta
kabhi b bin meray ek pal
nahi wo reh nahi skta
jis roz na milay usay
koi pegham mri janib say
ab ek muddat hoi logoun
wo anjan hai sbsay
mjhay bhool b gea wo
mjhay chor b gea wo
wo ab shyd reh b skta hai
mray paighmoun k bina aur
mray wjood k bina b shyd
chalo acha hoa yaroun
mjhay dukh nahi ab koi
mray ansooun pe mat jao
ye to usay jhotay hi lagtay hain
ye to sazish thi meri
ye to maqsad tha mra
k mai jena sikha doon usko
bin mray hasna sikha doon usko
yahi irada tha mra
k wo kuch samnbhal jaye
agr mai mar b jaon to
usay na rona aye
chalo acha hoa ye to
mjhay bewafa mana usnay
kam az kam adat to hai usko ab
Bin Meray Jeenay ki aye Khuda..!

AKSAR YUNHI RATOUN MEIN



AKSAR YUNHI RATOUN MEIN
MAIN KHUD SE BATAIN KERTI HOON
JAB BEETAY LAMHAY TARPAEN
PHIR HASTI GATI PHIRTI HOON
YUNHI AKAILAY BETHAY MAIN
SAB KUCH SOCHTI REHTI HOON
TAIZ HAWA K JHONKAY PER
MAI BHAGTI DORTI JATI HOON
DARWAZAY PER DASTAK DI HAI
AISA MANTI JATI HOON
PHOHUNCH K WAHAN PR DAIKHTI HN TO
BUS KHAMOSHI HOTI HAI
MAI UDAS ANKHAIN LAY KER
WAPIS JANAY LAGTI HOON
AKSAR YUNHI RATOUN MAI
MAI KHUD SE BATAIN KERTI HOON
MERI AHAT SUNTAY HI
CHAND B GHAR MAI ATA HAI
CHANDNI MEHAK SI JATI HAI
MUJH PE RASHK WO KERTAY HAIN
PHIR YUNHI BAITHAY BAITHAY HI
ANSOO NIGHAHOUN MAI ATAY HAIN
PATHRAI JHEEL SI ANKHOUN MAI
EIK TOFAN SA UBHARNAY LAGTA HAI
TANHAI B TARAP SI JATI HAI
PHIR BAITH K MERAY PAS MAI WO
MUJHAY PYAR SE WO SULATI HAI
MAI YEH SAB BHT HAIRANI SE
BUS YUNHI SOCHTI JATI HOON
ANKHAIN BAND KER KAY MAI
SAPNAY BUNTI JATI HOON
AKSAR YUNHI RATOUN MAIN
MAIN KHUD SE BATAIN KERTI HOON..!!

Friday, December 16, 2011

Mere Mayar Ko Samajne K Liye Bas Itna Kafi hai


Mere Mayar Ko Samajne K Liye Bas Itna Kafi hai
Main Uska Hargiz Nahi Hota Jo Har Kisi Ka Ho Jaye

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak

Sabz maddham roshni mein surkh aanchal ki dhanak
sard kamre mein machalti garm saanson ki mehek,
baazuon ke sakht halke mein koi naazuk badan,
silvatein malaboos par aanchal bhi kuch dhalka hua,
garmi-e-rukhsar se dhanki hui thandi hawa,
narm zulfon se mulayam ungliyon ki chhed chhaad,
surkh honthon par shararat ke kisi lamhe ka aqs,
reshmi baahon mein chudi ki kabhi madhham khanak,
sharmagin lehjo mein dhire se kabhi chahat ki baat,
do dilon ki dhadkano mein gunjti thi ek sada,
kaanpte honthon pe thi allah sirf ek dua,
kaash ye lamhe theher jaaye theher jayein zara..

Woh aadmi hai aam sa ek qissa na tamam sa

Woh aadmi hai aam sa ek qissa na tamam sa
Na lehja bemisal hai, Na baat mein kamal hai,
Hai dekhne mein aam sa, Udasion ki shaam sa,
Jaisay k eik raaz hai, Woh khud se be-niaz hai,
Na mehjabinon ka rabt hai, Na shohraton ka khabt hai,
Ranjha na Qais hai koi, Insha na Faiz hai koi,
Woh peker-e-ikhlas hai, Wafa Dua aur Aas hai,
Woh shaks khud shanas hai, Tum he karo yeh faisla!!!!
Woh Aadmi Hai Aam Sa?? Ya Phir Bohat He Khas Hai

rooz ghar ko sanwarti hoon

rooz ghar ko
sanwarti hoon
guldaan mein
pholoon ko sajati hoon
naye pardey darechoon par lagati hoon
aur saleekay say shelf mein rakhti hoon kitaabein
raat bhar darwaaza
khula raakhti hoon
khud ko bhi aarasta karti hoon
aankhoon mein kajal lagati hoon
chooriyoon say bahoon ko
hateyli ko mehndi say
sajati hoon
aur nikharti hoon bikharti hoon
tu nay aanay ka sirf aik baar
wada kiya tha

Sataya na karo humein yun is tarah

Sataya na karo humein yun is tarah
Ke hum bhi insaan hai tumhari tarah,
Aaj hum hain,kal na ho, kise maloom
Ho sakta hai ke,phir tum pachtaoo,kise maloom,
Zakhm-e-dil ko aur na zakhmi karo
Ke ye to hai sheeshe se bhi nazuk,
Ek baar toot gaya to judhna hai mushkil
Ho sakta hai,kal tum koshish karo,kise maloom!!!

Gali ke uss moor pe khada tha

Gali ke uss moor pe khada tha
Jidhar se rasta juda houa tha

aas ka aek jalta diya bhi le kar
Janey kis baat pe wo ada tha

Kadi dhoop may wo mar gaya hai
Paas hi jiskey saya Ghana tha

Ghamon may kiyun ho haath maltey
Hansi may usko gunwa diya tha

Suna hai usko mili hai manzil
Do gaam hi jo abhi chala tha

Ye jo hum ne tumhey rullaya hai

Ye jo hum ne tumhey rullaya hai
Mat samjho ke zulm dahya hai
Behtay hain jo ashk teray nainoon se
Girtey hain meri zameen-e-dil per ye
Kia karon mai majboor hon
Halaat kea gay buhat kamzoor hon

Binna teray meri saans nahi
Per milan ki bhi koi aas nahi
Isliye hum ne khud ko giraya hai

Shabeeh hamari jo teray dil pe ban bethi hai
Uss shabeeh ko hum ne yun mittaya hai
Ab jaan lo hamari hikmat
Kiyun tum ko hum ne rullaya hai

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain

Sawan ki hawaon mein zakhm jag uthtey hain
Shehar-e-dil ki fizaaon may alm jag uthtey hain

Surgazisht likhney ko jab bhi kagaz uthata hon
Khiyal ki zameenon may talatum jag uthtey hain

Baazecha-e-atfaal may nanhey nanhey phool mehakte dekhon tu
Dard key sehraaon may marhan rog bantey hain

Meri basti may kabhi mehfilain saja karti thein
Khoon-e-insan ki khusboun se ab sar-e-sham soog biliktey hain

Ghar se nikalna chaho tu ujaalon may hi nikalna
Meray arz-e-pak ki galiyun may har sham naag nikaltey hain

Buhat houa ab rehney do

Buhat houa ab rehney do
Subah suhani aaney do

Raat buhat hai ye kaali
Diya koi ab jalney do

Sisak sisak kar mar chukay
Chein se unko sooney do

Kaantey bichaye bethey ho
Phool bhi thodey khilney do

Reh gaye hewaan bhi heraan
Sheetan ke cheelay marney do

Soocha hai ab naam na lain
Insaniyat ko marney do

Dard magar ye barhta hai
Chalo phir dard likhney do

Aye arz-e-watan

Aye arz-e-watan
Zara mujh ko ye to bata
Aakhir majraa ye hai kia
Kiyun aakhir teri arz-e-paak per
Nezon pe saron ko uchala gaya
Namoos-e-bint-e-hawa ko rondaa gaya
Bachon ke sar se saya-e-pidr
Kiyun aakhir uthaya gaya

Betiyun ka yahan bazaar sajaya gaya
Jo bik na saki
Uss rooh ko phir jalaya gaya
Kal talak jahan
Chehchachaat chiryun ki thi
Wahan aaj phir kiyun
Barood chalaya gaya

Aye arz-e-watan
Teri fizaaon may aaj
Rooh-e-Quaid phir se
Sharminda hoi
Har ankh phir se ranjeeda hoi
Poochey hai yehi aik sawal aaj bhi

Kiyun aakhir
Khoon-e-shehedaan se rangeen
Ye chand tarey ka parcham
Lehraya gaya


Aik masoom bacha

Aik masoom bacha
Meri gali ka
Kehnay laga mujh se
Dar lag raha hai
Nahi chahata main bada hona yahan par
Paraya paraya sa jag lag raha hai

Anhkon may uski vehshat jo dekhi
Pocha sabab mai ne paas bula kar
Aye masoom bachey
Kiyun dar rehay ho
Sitam ye kaisa khud pe kar rehay ho

Ankhon may bhar kar
Aansu wo apney
Bola ye mujh se

Dekha hai mai ne hasher in badon ka
Nikaltey hain ghar se
Sapney sajaye palkon pe apni
Magar sham dhaltey
Lout aatey hain
Liptay houaye aik be rang kafan may
Janey kahan chhor aatey hain
Sapnon ki doulat
Bataao mai kaisey
Karon phir tammana
Badey honey ki
Badey honey ki

Zameen-e-dil pe aksar

Zameen-e-dil pe aksar
Aasman-e-chahat se
Yaadon ki barsat rehti hai
Qatra qatra girta hai
Zakhm zakhm banta hai
Ashkon ki rawani hai
Buhat ajab veerani hai
Ho sakey to lout aana
Wadi-e-muhabbat may
Vasl ki koi shama
Hathon se tum apney
Phir se jala dena
Andehra jo chhaya hai
Durr usay tum kar jana

Aik Masoom si Larki

Kitni khamoshi se kaheen
Kisi andehray kounay may
Bethi masoom si aik larki

Aatish-e-hijar may
Jal rehi ho gi
Janey kab se moom ki manind
Pighal rehi ho gi
Uskey honton pe saji
Muskaan ab to
Behtay ashkon may
Dhal rehi ho gi

Khana-e-dil may kaheen
Aik khuwahish-e-vasl
Chupke se
Pal rehi ho gi
Likhi thi jo usney
Haathon se apni
Dastaan-e-ulffat kabhi

Apney hi aansuon se
Ab wohi ibaarat
Dhul rehi ho gi
Anjam-e-chhahat dekh kar
Wo phir shehar-e-adum ko
Chal rehi hogi

Lout aaye na kaheen phir se Wo mousam-e-hijar

Lout aaye na kaheen phir se
Wo mousam-e-hijar
Mujh ko apni tanhai se lagta hai dar
Badi mushkil se banaya hai
Teri sangat may ye ghar

Firdoos sajai hai jaisey tu ney
Aisa lagta hai yahan ka
Har aik manzar
Teri saanson ki mehak se janaan
Aangan bhi houa hai muataar

Chalo mil kar karain hum dua
Khushiyan rooth na jayen yahan
Lout kar aaye na kabhi
Mousam-e-khizaan
Kuch aisi taseer-e-wafa chhor jayen
Dekh kar jisko
Ahl-e-wafa bhi reh jayen heraan

Rehay hamesha hamarey
Milan ki sehar
Peena na padey hum ko kabhi
Judai ka zehar
Bus
Sada rehay yahan
Mousam-e-vasl

Socha hai muhabbat kar loon

Socha hai muhabbat kar loon
Dunya se baghawat kar loon

De kar ke nishani dil ki
Us ko mai sakhawat kar loon

Badal se chura kar pani
Sawan se adawat kar loon

Qurbat may kisi ki mar kar
Furqat se baghawat kar loon

Raston ko karon mai gumrah
Manzil se shikayet kar loon

Likhtey rehay jis ko wafa

Likhtey rehay jis ko wafa
Milti rehi us se jafa
Sehtay rehay dard-e-hijar
Nikla nahi hurf-e-dua
Sajti magar shaam-e-ghazal
shaan-e-ghazal mil na saka
Kehnay lagi mujh se sehar
Ye lab teray na hon kusha
Suntey rehay qissa wohi
Jis may likha zikr-e-saza

Sitam garon ka shehar hai logo



Sitam garon ka shehar hai logo
Nazar nazar may zehar hai logo

Sunaa na humko dilon ki chahat
Ye khuwahishon ka behar hai logo

Humain sehar ki khabar nahi hai
Jaga houa aik qehar hai logo

Ruku zara tum kidhar chaley ho
Behi lahu ki nehar hai logo

Sada hamari rehay gi sakin
Lagi labon pe mohar hai logo

Main barish ki khata likhon

Main barish ki khata likhon
Ke sawan ko saza likhon

Sitam jo bhi rawa rakhay
Wo khuwabon ki jaza likhon

Diya jo zakham tha mujh ko
Usay apni qabaa likhon

Ajab matam bapa hai yaan
Khuda ki kia raza likhon

Khuwahishon ka ajab hai bun
bata phir tu main kia likhon

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho

Kiyun tum muhabbat jita rehay ho
Shayed humain phir bana rehay ho

Rehnay lagey phir khamoshiyun may
Matum ye kis ka mana rehay ho

Uljhan wohi phir khadi hai laiken
Rishta yunhi kiyun nibha rehay ho

Rakhtey nahi tum shikayton ko
Kiyun dil humain phir dikha rehay ho

Samjha nahi jo teri wafa ko
Sapna usi ka saja rehay ho

Kabhi mousam rulatey hain

Kabhi mousam rulatey hain
Kabhi humdum jalatey hain

Gilay shikway nahi kartey
Na janey kiyun rulatey hain

Khilay jo gul chaman bhar may
Humain sapney dikhatey hain

Sharab-e-ghum pilatey they
Wohi saqi bulatey hain

Jinhey samjha nijat-e-gham
Wohi hum ko satatey hain

Humain unse shikayet hai
Nahi jo ghar basatey hain

Mila jo bhi khazeena hai
Wohi tum per lutatey hain

Chalo ke qissa sunain tum ko



Chalo ke qissa sunain tum ko
Suna suna kar rulain tum ko

zameeN pe taarey sajaye hum ne
sehar ye kaisa batain tum ko

shajar jala kiyun barastey sawan
ajab karishma dekain tum ko

gira lahu kiyun zameeN pe uss ka
chalo fassana sunain tum ko

mila nahi phir sarab-e-ulfat
chalo ke dhoka khilain tum ko

Teri yaad ko bhula kar chaley

Teri yaad ko bhula kar chaley
nishaN apney sub mita kar chaley

biyanN kia karain guzarti hai kia
shab-e-gham yahaN mana kar chaley

chirag-e-sehar jalaya the jo
bhuja kar ussay saza kar chaley

hai larzaN buhat ye dil pur khata
ke sar ko yahaN jhuka kar chaley

hai taarikiyun ka baseera yahan
diya aas ka jala kar chaley

Bojhal badi aaj ki shaam hai

Bojhal badi aaj ki shaam hai
Sochon pe haavi ye kia naam hai

Mujh ko parishan karey ga nahi
Toofan ne bheja ye piyaam hai

Pathar bhi barsey chaley teer bhi
Basti teri kiyun ye bad-naam hai

Sikka tera chal sakey ga kahan
Dhokey se bhara ye nizaam hai

Manzil bhi teri buhat durr hai
Rastey may khadi ye kiyun shaam hai

Mila kar chalo tum qadam dosto



Mila kar chalo tum qadam dosto
Na karna kisi per sitam dosto

Badi aas lekar chala aagaya
Na tum toor dena bharam dosto

Jala kar chala phir ye kishti kidhar
Iradey na hon phir ye khum dosto

Batao humain kia sehar koh gayii
Utartey rehay kiyun alam dosto

Jalatey raho bus diyya tum yahaN
Jabhi durr hon ge ye gham dosto

Tujhey aazma kar saza de raha hai

Tujhey aazma kar saza de raha hai
Bharosa kabhi tha magar ab dagha hai

Kaha tha tumhey bhi na karna muhabbat
Tarapna ye shayed muqadar bana hai

Suna kar meri ab nasihat yahaN per
Sulagta houa phir ye darya khada hai

Samay ka ye chakar chala ja raha hai
Ye marham baney ga kabhi to, suna hai

Jagatey raho tum umeed-e-baharaN
Khadi phir teray dar nai aik saba hai

Kuch kaha bhi nahi kuch suna bhi nahi

Kuch kaha bhi nahi kuch suna bhi nahi
Sil gaye lab meray di sada bhi nahi

Phir giri bijliyaN kiyun meray aashiyaN
Jal gaya kiyun nagar kuch pata bhi nahi

Maeh humain tu pila bhool ja jo houa
Saaqiya gham abhi tak mita bhi nahi

Kar diya sub hawaley teray aye khuda
Kia karoN kuch yahaN ab bacha bhi nahi

koh gaye raasatay bujh gaye sub diye
seh gaye sub sitam kuch kaha bhi nahi

Ye peena pilana nahi jantey hain

Ye peena pilana nahi jantey hain
Ye kohna ye paana kahaN sochtey hain

Rehay dair tak kiyun piyasey wahaN per
Ye saqi teri hum khata pochtey hain

kahaN tak bacho ge qaza se bataao
saza ke farishtey tumhey dhoondtey hain

ye maqtal saja kar kahaN gum gaye ho
raho tum salamat dua maangtey hain

guloN ka ye mousam gurezaN raha hai
wajah kia rehi sub yahan pochtey hain

Tujhey aazma kar mujhey kia milay ga

Tujhey aazma kar mujhey kia milay ga
Ye chahat bhara silsila kab rukay ga

gumaN ho raha hai ussay koh diya hai
na janey kahaN ab ye sar phir jhukay ga

chalo ijz se tum zameeN per hamesha
ye dour-e-jawani kabhi to dhaley ga

kahaN paa sako ge sakoN tum jahaN may
agar dil ye tera baghawat karay ga

kabhi munsifoN se ye ja kar kahu tum
ye insaaf hum ko yahaN kab milay ga

Popular Posts