Chaman ka haal to ye hai k khaak urrti hai
kidhar sey ho ke bahaaroN ke kaarwaaN guzrey
dayaar-e-yaar ka saara safar anokha tha
qadam, qadam pe naya dey ke imtehaaN guzrey
saba bhi aai to phooloN ke muNh jhulsa ke gai
yahaaN sey abr bhi barsaa ke bijliyaaN guzrey
kabhi to waar raqeeboN ke de gaey the mazaa
kabhi to pyar azeezoN ke bhi giraaN guzrey
aey dil sambhal ke kisi ko hisaab deyna hai
ke zindagaani ke lamhey kahaN kahaN guzrey
No comments:
Post a Comment