Friday, November 2, 2012

wo aayi thi kya


Main rozgaar ke silsile mein

kabhi kabhi uske shaher jata hoon….

to guzarta hu us gali se………

wo neem-tariq si gali…

aur usike nukkad pe mota purana sa ik khambha.

usi k niche…

tamam shab intezaar karke..

main chor aaya tha shaher uska.. bahot hi khasta si roshni ko teke..

wo khambha aaj bhi wahi khada hai.

futur hai…magar….

main us khambhe ke paas jakar…

nazar bachake mohallewalo ki…

puch leta hoon aaj bhi ye.

ke….

mere jaane k bad bhi…..

wo aayi to nahi thi..?

wo aayi thi kya

No comments:

Popular Posts