Friday, November 2, 2012

neend ankhon se udi phool se khushboo ki tarah

neend ankhon se udi phool se khushboo ki tarah
ji behal jaye ga shab se tere gaisoo ki tarah

dosto jashn manao ke bahar aai hai
phool girtay hain har ik shaakh se ansoo ki tarah

ab tere hijr main lazzat na tere wasl main lutf
in dinon zeest hai thehray huway anso ki tarah

zindagi ki yahi qeemat hai ke arzaan ho jao
naghma-e-dard liye mauja-e-khushboo ki tarah

kis koi maloom nahin kaun tha wo shakhs “Aleem”
jis ki khatir rahay awaara hum aaho ki tarah

No comments:

Popular Posts