Friday, November 2, 2012

sham ke paich-o-kham sitaro’n se

sham ke paich-o-kham sitaro’n se
zeena zeena, utar rahi hy raat
yoo’N saba pass sy guzarti hy
jesy keh de kisi ne payar ke baat
sehan-e-zindaa’N ke by watan ashjaar
sar nigoo’N, mehav hain banany mein
daaman-e-aasma’N pe naqsh-o-nigaar
shana-e-baam par damakta hai
meharbaa’N chandni ka dast-e-jameel
khaak mein ghul gae hy aab-e-najoom
noor mein ghul gaya hy arsh ka neel
sabz gosho’N mein neelgoo’N saey
lehlahaty hain, jis tarah dil mein
mouj-e-dard-e-firaaq-e-yaar aaey
dil sy paiham khayal kehta hai
itni sheeree’N hy zindagi iss pal
zulm ka zehar gholny waly
kaamraa’N ho sakei’N gy aaj na kal
jalwa gaah-e-visaal ke shammei’N
wo bujha bhi chuky, agar tou kya?
chaand ko gul karei’N, tou hum jaanei’N

No comments:

Popular Posts