Friday, November 2, 2012

Panion panion jab chaand ka haala utraa

Panion panion jab chaand ka haala utraa
Neend kee jheel pe, ik khawab purana utraa

Aazmaish mein kaha’N, ishq bhi poora utraa
Husn ke aagy to, taqdeer ka likha utraa

Dhoop dhalne lagi, deewar se saya utraa
Sat’ha hamvaar hue, payar ka daria utraa

Yaad se naam mitta, zehan se chehra utraa
Chand lamho’N mein nazar se teri, kya kya utraa

Aaj kee shab mein paresha’N hoon to yn lagta hy
Aaj mahtaab ka chehra bhi hy, utraa utraa

Meri vehshat, ram-e-aahoo se kahi’N barh kar thi
Jab meri zaat mein tanhai ka sehraa utraa

Ik shab-e-gham ke andhery pe nahe hy mokoof
Tu ne jo zakhm lagaya hy, wo gehra utraa

No comments:

Popular Posts