Friday, November 2, 2012

raastay, manzilain, justaju.. aur main




raastay, manzilain, justaju.. aur main
ham nafas.. ik teri aarzu.. aur maiN

koi rishta, shanasaai, kuch bhi nahiN
aaina hai mere rubaru.. aur maiN

jugnuoN ki talab ka sila yeh mila
teergi hai mere chaar su.. aur maiN

khwaab ki titliyaN jab uReeN aankh say
reh gai khwahish-e-rang-o-bu.. aur maiN

raat bhar jaagtay haiN sitaroN talay
tera lehja.. teri guftagu.. aur maiN

aankh maiN khwaab ki kirchiyaN reh gayeeN
hath maiN qismatoN ka lahu.. aur maiN

sochti hooN.. kahaN jaooN, kis say kahooN
shehr dushman.. Faza bhi adu.. aur maiN

ik mere ishq ki tishnagi.. aur tu
ik tere hijr ki aabju.. aur maiN

daaman-e-umr main sar chupa kar, bohat
ro diye haiN.. teri aarzu.. aur maiN

raig-e-sehra huwe haiN tere ishq maiN
mere aihsaas ki aabru.. aur maiN

mere saahir.. bichaRtay samay reh gayeeN
teri aankhaiN mere chaar su.. aur maiN

kaash aisa ho.. saahil kanaaray kabhi
!..aur koi na ho.. sirf tu.. aur maiN

No comments:

Popular Posts