Be wafa koi nahi hai Ba wafa koi Nahi
Aashqi aur husn meiN ab waasta koi
Nahi
Ishq Bhi Sood-o ZiyaaN ko dekh ker hota hay ab
Ter ker kachey gharey per doobta Koi Nahi
Log HaiN Bey mehr ya rasm-e gadaai na rahi
shehr ki galiyon mein jaaney kyuN gadaa koi Nahi
Na rasaai ka wo aalam hay ke ehl-e derd ke
Haath Phailey haiN magar lab pe dua koi Nahi
Tangiy-e haalat meiN kaisey badal jaatey haiN log
Jaantey haiN sab magar pehchaanta koi Nahi
Bik gayee gherat watan ki kab kisi bazaar meiN
dukhtar-e millat ke ser pe kyuN ridaa koi Nahi
Dhar khanjar ki shansa, teer bhi maanoos sey
haiN sabhi apney yahaN per doosra koi Nahi
Dekh ker zulm-o sitam nazreN chura letey haiN log
sab zubaaN rakhtey haiN lekin Bolta Koi Nahi
Kha gaya dil ko jigar ko reza reza ker gaya
derd aisa hay Qamar jis ki dawa koi Nahi
No comments:
Post a Comment