Friday, August 23, 2013

Dastaan-e-kull

"JUDAIYAA'N"
**DASTAAN-E-KULL**


Chupa deta main kisi taaq mein,
kisi khaana-e-daraz mein'
ya lapaitt ker oaraaq mein
milla deta kisi khaak mein;
jo hota ayaa'n to na kholta!
ke ye meri kitaab-e-zindagi
ba'unwaan-e-haasil-e-dil'lagi
anjaam-e-aashiqi warq warq
liye muntazir hai dard-o-karb'
jo hota gumaa'n to ye sochta!
ke mere bakht-e-sitam saaz ne
jo kiya tha darjj naseeb mein
sab raqm jis kitaab mein
kiyo'n laggi wohi , mere haath mein!!
per dard-o-ghum ki ghaat ka
mujhe ilm tha na aagahi
so ik ada-e-saadgi
se mein ne kitaab-e-zeest ko
khush khayal lamho'n mein
waqt waqt rok rok khola....
pehlay safhay pe khush rung-o-khush'numa andaz se
ik "lafz-e-roshan" tha likha;
ye lafz shanasa tha wohi
jo rawaa'n tha her her ragg mein hi
jissay harf harf sar-e-loh-e-jaa'n
parha tha dil-e-zaar ne
ussi lafz-e-saya dar ne'
kuch maani diye giraftt mein
phir rakha ta'umer hisaar mein!
ussi lafz-e-kull ki qeemate'n;
(wohi lafz yani "mohabbate'n")
na kisi aadaad-o-shumaar mein
palta jo warq aur ik ....
to darjj thi wohi qeemate'n
jin qeemato'n ki madd mein hi
mere roz-o-shab sab qaid thay;
baqi oaraaq kitaab ke...
ya siyaah thay.. ya sufaid thay!!
main kaatib-e-taqdeer ke
insaaf pe hairaan tha'
meri aankh ashkbar thi.. mera jism be'jaan tha'

ussi aalim-e-hairangi-o-aalim-e-pur'soz mein
junhi kitaab band ki;
to ik lafz aur darjj tha...
ye "lafz-e-siyaah" to azal se
zehan-o-dil pe naqsh tha'
meri hayyat to goya
2 lafzo'n ka qarz tha'
wo jo eik sar-e-pushtt tha.. wo jo eik sar-e-warq tha!
mujh per naseeb-e-zeest ka
andha sa her ik faisla
abb misl-e-roz-e-awal-o-aakhir aashkar tha'
main naqsh'ba'deewar tha;;
so 2 lafzo'n pe mushtamil
korii kitaab-e-zeest ko
sar-e-taaq chup se rakh diya!
ke shaam ke anjaam se
sehar ke aaghaz tak
zeest se ajal ki
aakhri aawaz tak''''
darooney-o-bairoonay zaat
door tak pheli huyee...
ayaa'n thi'n mujh pe abb sabhi
bakhtt ki siyahiyaa'n;
sar-e-warq sabtt "mohabbate'n"
sar-e-pushtt likha tha "judaiyaa'n!!"

No comments:

Popular Posts