Thursday, March 12, 2009

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi

Baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thijaisi ab hai, teri mehfil, kabhi aisi to na thi
le gayaa cheen ke kaun aaj teraa sabr-o-qaraar?beqaraari tujhe, ae dil! kabhi aisi to na thi
un ki aaNkhoN ne, Khuda jaane, kiyaa kyaa jaadooyeh tabeeyat meri maa'il(attracted) kabhi aisi to na thi
kyaa sabab tu jo bigaD.taa hai 'zafar' se har baar?KHoo teri hoor-e-shimaa'il kabhi aisi to na thi

No comments:

Popular Posts