Thursday, March 12, 2009

Dukh fasana nahin ke tujh se kahein

Dukh fasana nahin ke tujh se kahein
dukh fasana nahin ke tujh se kahein dil bhi mana nahin ke tujh se kahein
aaj tak apni bekali kaa sabab Khud bhi jana nahin ke tujh se kahein
ek tu harfaashna tha magar ab zamana nahin ke tujh se kahein
be-tarah dil hai aur tujh se dostana nahin ke tujh se kahein
aye Khudaa dard-e-dil hai baKhshish-e-dost aab-o-dana nahin ke tujh se kahein

No comments:

Popular Posts