Thursday, March 12, 2009

Karb k shehar se nikle tu ye manzar daikha

Karb k shehar se nikle tu ye manzar daikhahum ko logon ne bolaya hamain cho kar daikha
jub bhe chaha hai k malboos-e-wafa ko choo lainmisl khushbo koe urta hoa paikar daikha
wo barsaat main bhegaa tu nigahain uthii'enu laga hai koe tarasha hoa pathar daikha
zindagi kitni pareshan hai ye socha bhe na thaes k atraaf main sholoun ka samanadar daikha
aa gae ghum ki hawa pher teray gaisoo cho karhum ne verana-e-dil pher se mo'aatar daikha
wo jo urti hai sada dasht-e-wafa main faysal usi mitti main nihaa'n dard ka ghouhar daikha

No comments:

Popular Posts