Thursday, March 12, 2009

Bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona

Bus ki dushwaar hai har kaam ka aasaaN hona aadmee ko bhee muyassar naheeN insaaN hona
giriya chaahe hai KHaraabee mere kaashaane ki dar-o-deevaar se Tapke hai bayaabaaN hona
waa-e-deewaangee-e-shauq, ke har dam mujhko aap jaana udhar aur aap hee hairaaN hona
jalva az_bas ki taqaaza-e-nigah karta hai jauhar-e-aaina bhee chaahe hai mizhgaaN hona
ishrat-e-qatl_gah-e-'ehl-e-tamanna mat pooch id-e-nazzaara hai shamsheer ka uriyaaN hona
le gaye KHaak meiN ham daaGH-e-tamanna-e-nishaat too ho aur aap ba_sad_rang-e-gulistaaN hona
ishrat-e-paara-e-dil, zaKHm-e-tamanna_KHaana lazzat-e-reesh-e-jigar GHarq-e-namakdaaN hona
kee mere qatl ke baad usne jafa se tauba haay us zood_pashemaaN ka pashemaaN hona
haif us chaar girah kapDe ki qismat 'GHalib' jis ki qismat meiN ho aashiq ka girebaaN hona

No comments:

Popular Posts