Thursday, March 12, 2009

Meri har ghazal ka wohi unwaan raha hai

Meri har ghazal ka wohi unwaan raha haiMagar aaj tak woh mujh sy anjaan raha hai
Btany sy darta hon kih bura na maan jayeissi na btany sy , bura woh maan raha hai
Chehra uska har waqat samaya hai aankon meinChhup kar dekhta hai mujhy,shaid pehchan raha hai
Mohabat to parindon ko bhi hai, charindon ko bhiBewafai k liye bacha sirf insaan raha hai
Na bataya ussy k abhi, na woh samajh payaShaid pta hai meri mohabat ka yehi guman raha hai
Chamak na thi uski aankhon mein pehly jaisiLagta hai kih woh kisi bat sy parshan raha hai
Chehry py kabhi udaasi aany na di aaj takLekin dil humara har par sunsaan raha hai

No comments:

Popular Posts