badan ke donoN kinaaroN se jal rahaa huuN maiNke chhuu rahaa huuN tujhe, aur pighal rahaa huuN maiN
tujhii pe Khatm hai jaanaaN mire zavaal kii raattuu ab tulu bhii ho jaa, ke Dhal rahaa huuN maiN
bulaa rahaa hai miraa jaamaa-zeb milne koto aaj pairahan-e-jaaN badal rahaa huuN maiN
Ghubaar-e-rahguzar kaa ye hauslaa bhii to dekhhavaa-e-taazaa! tire saath chal rahaa huuN maiN
maiN Khvaab dekh rahaa huuN ke vo pukaartaa hai,aur apne jism se baahar nikal rahaa huuN maiN

No comments:
Post a Comment