Thursday, March 12, 2009

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna hai

Wafa main ab yeah hunar bhi ikhtyar kerna haiWo sach kahay na kahay aitbar kerna hai
Yeah tujhko jaagtay rehnay ka shoq kab se huwa?Mujhay to khair tera intizaar kerna hai
Hawa ki zid main jallaye hain Ansoon k chiraaghKabhi yeah jashan ser-e-rah guzaar kerna hai
Wo muskura ker nayi wasoosoon main daal gayaKhayal tha use sharamsaar kerna hai
Teray firaaq main din kis tarha kaateinKe shaghal-e-shab tu sitaray shumaar kerna hai
Chalo yeah Ashak hi moti samajh ker Baich aienKisi tarha to humain Rozgaar kerna hai

No comments:

Popular Posts