Saturday, February 27, 2010

hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun


hokar zameen ki khaak, aasman ki chahat kyon karun
main tujhko paane ki aur tamanna kyon karun,

mujhko khabar hai, judai tadpayegi tujhe bhi har pal
isliye bata de main tujhse wafa ki aas kyon karun,

rooh ko meri *** lagegi gar tu na mila mujhe
tujhe aapna banane ki, par dua kyon karun,

teri masoomiyat ko banayaa hai rab ne mohhabat ke liye
tujhe na chahne ki khata main bhala kyon karun,

farishtey bhi tadap jate hain, teri aankhon se jab ashq chalakte hain
ye dard tujhe dekar, main ye gunah kyon karun,

teri meri kismat ki rahein hain juda juda
main phir bhi teri ban jane ki dua kyon karun,

mana ki mohhabat bhari nazar dil pe ghera asar karti hai
tujhe pyaar se dekh kar tujhpar ye rehmat kyon karun,

itna dukhaya hai dil ko tune mere, itna rulaya hai mujhe
sab kuch sahun phir bhi, tujhse be-intihah mohabbat kyon karun....



_________________

No comments:

Popular Posts