Wohe qissay hain wohe baat puraani apni
Kaun sunta hai bhala raam kahani apni
Her sitamgar ko ye hamdard samajh leti hai
Kitni khush feham hai kambakht jawani apni
Roz miltay hain dareechay pe naye phool mujhy
Chorr jata hai koi roz nishaani apni
Tujh say bichrray hain to paaya hai beyanban ka sakoot
Warna daryaaon say milti thi rawaani apni
Dushmanon say he ghum ka madaawa maangein
Doston ne to koi baat na maani apni
Aaj phir chaand ufaq per nahe ubhra hai
Aaj phir raat na guzray gi suhaani apni.... .
No comments:
Post a Comment