Saturday, February 27, 2010

woh baat baat mein itna badalta jaata hai


woh baat baat mein itna badalta jaata hai
keh jis tarhaan koi wadda badalta jaata hai 

Yeh arzoo thi keh hum us kay sath sath challain
magar woh shakhas tu rasta badalta jata hai 

jo taiz dhoop mein sar par raha wohi anchal
hawa chali hai tu kitna badalta jata hai 

ruttein visaal ki aab khawb honay wali hein
keh us ki baat ka lehja badalta jaata hai 

woh baat kar jisay duniya bhi mo?atbar samjhay
tujhay khabar zamana badalta jaata hai 

yeh arzoo thi keh hum uss kay sath sath chalain faysal
magar woh shakhas tu raasta badalta jata hai

No comments:

Popular Posts