Saturday, February 27, 2010

Jee chuke hum bahut faqt apne liye


Jee chuke hum bahut faqt apne liye, gar jiye apnii khaatir to phir kyaa jiye
Hum pe ehsaan bhaarii zamaane ke hain, na zamaane kii khaatir jiye, kyaa jiye

Aaj apnaa watan raas aataa nahin, naujawaan chul pade aaj pardes ko
Is watan mein zahaalat, gariibii sahii, bewatan kii tarah gar jiye kyaa jiye

Chaahe aapas mein kitanii adaavat rahe, khuun ke rishte mitate nahin bair se
Rishte gairon se bun kar bhii bunate nahin, gair ke ghar mein jaa kar jiye, kyaa jiye

Aadamii kii hawas kyaa kabhii kum huii, jeb jitanii bharii utnii khaalii rahii
Paisa puuje kabhii bhii khudaa na mile, paise ke waaste jo jiye kyaa jiye

Pyaar apne se aur apne dil se sabhii, log karte hain karte rahe hain sadaa
Pyaar sacchhaa jo auron ke dil se kare, hain wahii jo Khalish asliyat mein jiye...

No comments:

Popular Posts