kabhi tu moheet-e-havaas tha, so nahi raha
maiN tere beghair udaas tha, so nahi raha
meri wus’atoN ki havas ka khaana kharaab ho
mera gaaoN shehar ke paas tha, so nahi raha
teri dastaras main theeN bakhshishaiN, so nahi raheeN
meray lab pe harf-e-sipaas tha, so nahi raha
mera aks mujh se ulajh paRa to girah khuli
kabhi maiN bhi chehra-shanaas tha, so nahi raha
meray baad noha-be-labb havaaeiN kaha karaiN
woh jo ik dareeda libaas tha, so nahi raha
maiN shikasta-dil hooN saf-e-’udu ki shikast par
woh jo lutf-e-khof-o-haraas tha, so nahi raha
No comments:
Post a Comment