Saturday, February 27, 2010

tassalsul Toot jaay ga!

na chaiRho khilti kalyoN, hanste phoolon ko
in uRhti titliyoN, aawara bhawron ko,

tassalsul Toot jaay ga!


fiza mehway sama'at hai,
haseen honton ko naghma-rez rehne do,

nigahaen neechi rakho aur mujassam gosh ban jaao

agar junbish labon ko di,

tassalsul Toot Jaay ga!

hawa say pat-tiyaaN sargoshiyoN meiN mehave haiN
aur jhoomti shakHoN ke jhooloN meiN

parindoN ki chahak se sara sahil

sarmadi ehsas meiN Dooba huwa

sarshar-o-shadaaN hai

agar kankar bhi satah-e-aab pe mara

tassalsul Toot jaay ga!


ufuq meiN Doobte sooraj ka manzar
iss bulandi se zara dekho

issi rangeen kinaare par,

shafaq sona luta-ay gi

yoonhi tum be- hiss-o-saakit raho

aise meiN palkaiN bhi zara jhapkaiN

tassalsul Toot jaay ga!

wo kHwabeeda hai, kHwabeeda hi rehne do
na jaane kHwaab meiN kin waaadiyoN ki sair karti ho

bulandi se phisalte aabsharoN meiN kahiN gum ho

falak- asaar choti par kahiN meh'way tarranum ho

agar awaz di tum ne

tassalsul Toot jaay ga!

maiN shayar hooN,
meri fikr-e- rassa, ehssass ki uss satah par hai
jiss meiN kHushboo rang banti hai
sada ko shakl milti hay
tassavvur bol uthTa hai
kHamoshi gungunaati hai
yeh wo waqfa hai _ _ _ _ _ _ aise meiN,
agar daad-e-sukHan bhi di
tassalsul Toot jaay ga!





_________________

2 comments:

afshan nasir said...

bohat khubsurat janaab..........

afsan nasir

FAYSAL'S POETRY said...

THANKS!!!!!!! DEAR
regards
FAYSAL

Popular Posts