Friday, May 28, 2010

Apne Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai

Apne Zarf Apni Talab Apni Nazar Ki Baat Hai, 
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai, 

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi, 
Kam Nazar Samjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai, 

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi, 
Shamma Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai, 

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop, 
Zindagi Jo Chashmak-E-BarQ-O-Sharar Ki Baat Hai, 

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hai Warna Zindagi, 
Ek Musalsal Rehguzar, Payham Safar Ki Baat Hai...

2 comments:

sufyian said...

boht zabardast
jawab nahi ...............

sufyian said...

faysalspoetry mujhay internet kee tamam poetry site say badha ker hai aur jahan ek aadmee apny man kay andar chupay huway tmam andaz-e-bayan aur dil kee gahariee say nikaly huee yadeen aur umangeen display kar skata hai

Popular Posts