Friday, May 28, 2010

Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha

Faasle Aise Bhi Honge Ye Kabhi Socha Na Tha, 
Samne Baitha Tha Magar Wo Mera Na Tha, 

Wo Ke Khushbu Ki Tarah Phaila Tha Mere Chaar Soo, 
Main Use Mehsoos Kar Sakta Tha Chhu Sakta Na Tha, 

Raat Bhar Uski Aahat Kaan Mein Aati Rahi, 
Jhaank Kar Dekha Gali Mein Koi Bhi Aaya Na Tha, 

AQs To Maujood The Par AQs Tanhayi Ke The, 
Aayina To Tha Magar Us Mein Tera Chehra Na Tha, 

Aaj Usne Dard Bhi Apne Alahida Kar Diye,
Aaj Main Roya To Mere Sath Wo Roya Na Tha, 

Ye Sabhi Veeraniyan Uske Juda Hone Se Thi, 
Aankh Dhundlayi Hui Thi Sheher Dhundhlaya Na Tha, 

Yaad Karke Aur Bhi Takleef Hoti Thi, 
Bhool Jane Ke Siwa Ab Koi Bhi Chara Na Tha...

No comments:

Popular Posts