Friday, May 28, 2010

Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun


Jee Chahta Hai Tere Naam Ek Kitaab Likhun,
Is Kitaab Ka Tere Naam Intisab Likhun, 

Tujhe Sharminda Karne Ke Liye Main Is Mein,
Tera Aur Mera Be-Baak Hisaab Likhun,

Main Soch Soch Kar Pagal Sa Ho Gaya Hoon, 
Jhele Hai Jo Tere Gam Maine, Kaise Wo Azaab Likhun,

Degi Meri Zindagi Ko Andhere Wohi, 
Khwahish Thi Jise Main Aftaab Likhun,

Jo Diye Hai Tune Kaanto Ke Bistar Mujhe, 
Bahut Mushkil Hai Kaanto Ko Gulaab Likhun, 

Mujhse MunafaQat Na Ho Sakegi Dilki Baat Mein,
Dukhon Ke Samundar Ko Main Kaise Sarab Likhun,

Ajab Qarb Mein Mubtila Kar Diya Tune Mujhe, 
Samajh Nahi Aata Tere Khat Ka Kya Jawab Likhun,

Lafz To Sab Hi Mita Diye Hai Mere Aansuon Ne, 
Apni Kahani Ab Main Kaise Teh-E-Aab Likhun,

Ek Ek Lafz Yaad Hai Mujhe Teri Guftugu Ka, 
Khwahish Hai Teri Har Baat Ko Khitab Likhun, 

Jiski Tabeer Bhi Na Mil Saki Mujhko Aye Jaana, 
Main Apni Kitab Mein Kaise Wo Khwaab Likhun,

Laakhon Chehron Se Haseen Banaya Tujhe Khudane Magar, 
Jo Mera Nahi Us Chehre Ko Kaise Mahtaab Likhun,

Yak Tarfa Faisla Sunaya Adalat-E-Uzma Ne, 
Main Is Jajj Ko Kaise Izzat-E-Mab Likhun,

Har Baat To Dil Ki Keh Dali Hai, 
Isse Zyada Aur Kya Main Janab Likhun...



_________________

No comments:

Popular Posts