Friday, May 28, 2010

Aye Kaash Koi Aisa To Hota

Aye Kaash Koi Aisa To Hota,
Jo Laa Deta Mere Khwaab Saare, 
Jo Meri Samundar Aankhon Se
Chun Leta Azaab Saare, 
Jiski Sangat Mein Mujhe Apne Hone Ka Ehsaas Hota, 
Mera Har Aansu Iske Liye Ek Azaab Hota, 
Par Aye Nadaan Dil Mujhe Pata Hai, 
Mera Wajood Kis Mitti Se Bana Hai, 
Mujhko Pata Hai, 
Mere Gham Saare Mere Hai, 
Ye Tanhaiyan Bhi Meri Hai, 
In Samundar Aankhon Ke Azaab Bhi Mere Hai, 
Mera Har Aansu Bhi Sirf Mera Hai, 
Izzat Daaron Ke Is Sheher Mein,
Ye Izzat Ka Janaza Bhi Mera Hai, 
Gairat Ke In Darbaanon Mein, 
Ye Chhalni Wajood Bhi Mera Hai, 
Rasmo Riwaj Ke Is Qafas Mein,
Qaid Ye Rooh Bhi Meri Hai, 
Mera Har Khwaab Sheesha Hai, 
Aur Ye Insaan Patthar Saare, 
Aye Kash Koi Aisa To Hota, 
Jo Laadeta Mere Khwaab Saare, 
Jo Meri Samundar Aankhon Se, 
Chun Leta Azaab Saare...

No comments:

Popular Posts