Tuesday, May 4, 2010

Ankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya

Ankhon ka rang, baat ka lehja badal gaya
Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya

Kuch din to mera aks raha aina naqsh
Phir yun huwa k khud mera chehra badal gaya

Jab apne apne haal pe ham tum na reh sakay
To kiya huwaa jo ham say zamana badal gaya

Kadmon talay jo rait bichee thi woh chal pari
Us nay churhaaya haath to sehra badal gaya

Koi bhi cheez apni jagah par nahin rahi
Jaatay hi aik shakhs kay kiya kiya badal gaya

Uth kar chala gaya koi wakfay kay darmiaan
Parda utha to saara tamaasha badal gaya

Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya

Kehnay ko ik sehan main deewar hi bani
Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya

Shayad wafa kay khel main uktaa gaya tha woh
Manzil kay paas aakay jo rasta badal gaya

Qayem kisi bhi haal pay dunyaa nahin rahi
tabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya

Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya

Andar kay mosaamon ki khabar us ko ho gayee
Us no bahaar naaz ka chehra badal gaya

Ankhon main jitnay ashaq thay jugnoo say ban gaye
Woh muskuraaya aur meri dunyaa badal gayee

Apni gali main apna hi ghar dhoondtay hain log
faysal yeh kon shehar ka naqsha badal gaya

No comments:

Popular Posts