Tuesday, May 4, 2010

dosti ik anmol rishta hai

dosti ik anmol rishta hai
jo ik phool ke manind hai
woh phool ke jo khil kar sare bhaag ko mautar kar de
haan dosti woh rishta hai
jo do dilon se shoro hota hai magar
janmon yaad rehta hai
janmon sath rehta hai
haan woh rishta hai,
ke jo kabhi bulaya nhi ja sakta
kabhi tora nhi ja sakta
haan sachi dosti kabhi toot ti nhi
kabhi mit ti nhi
to aao phir ik ehad karen
hum bhi sachi dosti karen

No comments:

Popular Posts