Tuesday, May 4, 2010

Usay apnay ferd ki fikar thi

Usay apnay ferd ki fikar thi
Jo mera waqif-e-haal tha
Wo jo us ki subah urooj thi
Wohi mera wakt-e-zawaal tha

Kaha jao ge mujhay choor k
Main yea pouch pouch k Thak giya
Wo jawab mujh ko na desaka
Wo to khud hi sarapa-e-sawal tha

Mere baat kase wo maanta
Mera Dard kase wo jaanta
Wo to khud fana ke safar main tha
Usay rookna bhi mohaal tha

Wo jo us ke samnay aa giya
Wo hi roshany mian naha giya
Ajab uski haibat-e-ishq thi
Ajab uska rang-e-jamal tha

Dam-e-Wapisey
Arey kiya hua
Na wo roshany na wo tazagy
Wo sayara kaisay bikhar giya
Jo apny misaal app tha

Wo mila to sadyo k bad bhi
Mere lab pai koi gila na tha
Usay mere chup na rula diya
Jisay guftago main kamal tha

Mere paas aa k wo ro diya
Mujhay itna hi kh saka
Jisay jaanta tha main zindagy
Wo to mera weham-0-khayal tha

No comments:

Popular Posts