Tuesday, May 4, 2010

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain

Tum apnay apnay say lagay sou apna liya tumhain
Haal-e-dil sab hi khul kay bata diya tumhain

Kis tarah say chupatey dherkan kay shor ko
Shor jab had say berha to suna diya tumhain

Khaali khaali say dar-o-deewar they mere dil kay
Is khalish ko jo pur kiya to saja diya tumhain

Chalak rahi chahat mere chehrey say khushi ban kay
Jab say dil ki panahoon main basa diya tumhain

Soona soona sa tha meri umeedoon ka aangan
Machalti umangoon ki tarap nay paa liya tumahin

Kab say tanha phir raha tha humsafar ki talab main
Bus younhi ik roz qismat nay mila diya tumhain

Nikhra nikhra tumhara husan meri amanat samjhna
Kali say badal kay gul-e-gulzaar bana diya tumhain

Deewanay pan ki hadain choo raha jazboon ka junoon
Doob kay mohabbat ki gehraiyoun main dikha diya tumhain

Cheen na lay yeh ehsaas shaiki beyderd zamanay ki rasam
Isi sabab duniyaan ki nazar say chuppa diya tumhain

No comments:

Popular Posts