Tuesday, May 4, 2010

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha

faslay asay bhi hon gay darmian ye kabhi socha na tha
samnay baitha tha mairay or wo maira na tha 

wo khusbo ki tarha phaila tha mairay chaar so
main usay mehsos kar sakta tha chosakta na tha 

raat bhar pichli si aahay kaan main aati rahi
jhaank kar daikha gali main koi bhi aya na tha 

aaj is nay dard bhi apnay alehda karliay
aaj to main roya to mairay sath wo roya na tha 

ye sabhi veranian is k juda honay say thin
aankh dhund lai hoi thi shar dhund laya na tha...

No comments:

Popular Posts