Tuesday, May 4, 2010

wo zulf ki zanjeer thee khalq ki tanveer thi

wo zulf ki zanjeer thee
khalq ki tanveer thi
alfaz ki toqeer thi
wo khushboo bhari taqdeer thi
wo dharkano ka saz thi
wo ek haseen mahanaz thi
wo ishqie ka andaz thi
andaz dikhlati thi wo
rafat nazar ati thi wo
hanske bal khati thi wo
iqrar or inkar se
din beete the pyar se
us zulf bhari mehkar se
kia lutf tha us ke pyar se
aisi thi ulfat ki lagtan
mehka tha tan badan
phir ek bheegi sham ko
aye apne bam ko
kehte hain pyar nam ko
tora nazre jam ko
maine kaha kia bat ahi
lagta hia gum ki rat hai
main tum ko khone lagi
kisi ger ki hone lagi
phir phoot ke rone lagi
roye humari yad main
kia dard tha faryad main
us ne kaha ye mat kaho
hansker ek dukhsaho
wada jo us ne lelia
ashko ko hum ne pi lia
yado ke khatir ji liye
us ne jane jahan ke pyar main
hum ro pare iqrar main
ab wo juda hone ko hai
hum se wida hone ko hia
gum hosle khone ko hai
per ab na ghabrayenge hum
us ki khushi main chahinge hum
Ah kis qadar majboor hain
ager cha gumo se choor hain
us dil nasheen se door ahin
phir bhi kare huns ke dua
un ko mile khushiyan sada

No comments:

Popular Posts