besabab baat ba.Dhaane kii zaruurat kyaa hai
ham Khafaa kab the manaane kii zaruurat kyaa hai
aap ke dam se to duniyaa kaa bharam hai qaayam
aap jab hai.n to Thikaane kii zaruurat kyaa hai
teraa kuuchaa, teraa dar, terii galii kaafii hai
beThikaano ko Thikaane kii zaruurat kyaa hai
dil se milane kii tamannaa hii nahii.n jab dil me.n
haath se haath milaane kii zaruurat kyaa hai
rang aa.Nkho.n ke liye buu hai damaago.n ke liye
phuul ko haath lagaane kii zaruurat kyaa hai

No comments:
Post a Comment