Tuesday, May 4, 2010

Ek gulab tha Bara odas tha

Ek gulab tha
Bara odas tha
Rang bhi us ka tha kuch ora ora sa
Shabnam k ansoo rawan thay us k
Dil tha us ka kuch bujha bujha sa
Bahar ka tha mosam phir bhi na khila tha
Dali say tha who apni kuch jhuka jhuka sa
Main nay ju dekha usay
Pass ja k pocha us say
Kyon ha odas to?
Kyon kerta ha dil barbad to?
Kis ko kerta ha yad to?
Yeh sun ker who ronay laga
Shabnam k ansoo say moon dhonay laga
Or rotay rotay bas yeh kehnay laga
Mera yar mugh ko chor gaya hai
Mera pyar mugh say moon mor gaya hai
Ab main kis k liyay khil jaoon
Ab main kis k liyay khushboo mahkaoon
Mujhe kon apnay dil say lagaie ga
Mujh ko kon apni sansoon may basay ga
Mera chaman ojar gaya hai
Mera yar mujh say bichar gaya hai
Bas ab to her lamhay us ki yad hai
Bas baqarari hai, tarap hai faryad hai
Mujh ko koe meray yar say mila dai
Mujh ko koe mera pyar lota dai
Woh ayey ga tu khil jaoon ga maiN
Apni zindagi say mil jaoon ga maiN

No comments:

Popular Posts