Woh ke jo saath nibhaanay ki qasam laiay thay
Kaisay woh saari wafaao'n ki rasam torr chalay
Hum nay barsaat mai'n , mee'n maang ke kyaa paap kiya?
Chal paree aisee hawaa, abr hee rukh morr chalay
Ab mere saath, un ki yaad, un ki soochai'n hai'n
Aay koee aisee hawaa, in kaa bhee rukh morr chalay
Hum isi sooch mai'n baithay rahay yun saari umar
Un k dil per bhee kabhi kaash apnaa zorr chalay
Tuhfaa tanhaa'iyo'n ka de ke wo muskaay bhee thay
Bazm ko aag lagaa ker wo kahi'n aur chalay
Kon, kab kis ki khataa'on ko muaaf kertaa hai
Hum bhee ab un ki khataa'on ki ridaa orhh chalay
Zoorr to aaj bhee is dil nay lagaayaa hai bohot
Per sanam aaj tera shehr-e-wafaa chorr chalay
Aao, risht'n kaa bharam torrnay waalo , daikho
Dair se hee sahee, hum aaj , sahee aur chalay
Raah chaltaa huaa shayad koee bhoolaa bhatkaa
Qissa-e-ghum jo sunaa'ay to kahi'n aur chalay
majmaa-e-zoq kahai'n yaa ke tamaashaa faysal
daad de ker sabhi phir bazm apni chorr chalay

No comments:
Post a Comment