Do-Chehragi
Who sabke dil mein base, ban ke Aitbaar-e-Wafa
Ye ek khaas adaa, Be-Misaal hai uski
Nazar kisi ki tarf, aur dil kisi ke saath
Ajab Siyaasat-e-husn-e-Jamal hai Uski
Tehkik (khoj)
Simat saka na kabhi Zindgi ka phailaav
Kahi bhi khatm, gham-e-aashiqui nahi hota
Nikal hi aata hai koi na koi gun`jaayish
Kisi ka pyar kabhi aakhiri nahi hota
Character
Us se bichday huwe, to ek zamaana beeta…
Lekin is baat se, Takleef mujhe hoti hai
Kar gayee jiske liye, Tarq-e-talluk mujhse
Paa liya usko, to aab mere liye rotee hai….
Dilaasa
Yakeenan ye anhokah haadsa hai..
Ke hum milte hi phir se bant gaye hai..
Kasak si reh gayee hai dil mein lekin
Chalo kuch din to achchay kat gaye hai…
Kabr-e-Anaa
Uski haseen raato ka jo le sake hisaab
Kehti hai who abhi koi paidaa nahi huwa..
Ya usne dil kisi ko diya hi nahi abhi
Ya uska aaj tak koi shaidaa nahi
Tareekan
Haasil raha ho jo tark-e-sukoonat se peshtar
Sabne who imtiyaaz bhi apna gawa diya
Laalach mein hirniyaan kisi dariyaa mein jaa basee
Aur machliyo ne dasht mein maskan bana liya
No comments:
Post a Comment