Nazar jab tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon
Bas ek dharkan dharakti hai main khud ko bhool jata hoon
Tumhain milne se pehle main bohat banta sanwarta ho
Mager jab tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hoon
Main akser sochta rehta hoon kia hai ye sab???
Tu batain mujhe se kerti hai main sab kuch bhool jata hoon
Main apni zaat main khud-dar hoon' khoya sa rehta hoon
Mager jab teri chori khanakti hai main khud ko bhool jata hoon
Tu gum hoti hai socho main' main takta he rehta hoon
Jo tu pehlo badalti hai main khud ko bhool jata hoon
Main akser kitabo pe tera naam likhta hoon
Mager kuch tu jo likhti hai main khud ko bhool jata hoon
No comments:
Post a Comment